Jyadatar Swimmers Ko 100m Freestyle Me Ye Dikkat Hoti Hai Ki Wo Breathing Pattern Nahi Select Kar Pate Or Iske Karan Finishing Me Unke Body Me Oxygen Level Kam Ho Jata Hai Jisse Wo Apni Race Sahi Trike Se Nahi Finish Kar Pate Hai. Too Iss Article Me Ham Isi Topic Par Baat Krenge Ki 100m Freestyle Me Kis Pattern Se Breath Karne Se Swimmers Apni Performance Bdha Skta Hai.
Ham Jante Hai Ki Short Freestyle Races Me Single Breath Karke Ham Maximum Speed Gain Kar Skte Hai, Kyuki Aisa Dekha Gya Hai Ki Short Race Me Agar Aap 1 Bhi Breath Lete Hai To Usse Frontal Drag Increase Ho Jata Hai Or Jiske Karan Speed Slow Ho Jati Hai. 50m Me Energy Ka Maximum Portion Anaerobic System Se Hi Cover Hota Hai Jabki 50m Ke Baad 100m Ko Hta Kar Ke Jitni Bhi Race Hoti Hai Usme Aerobic System Ka Use Karke Energy Increase Ki Ja Skti Hai. Or Studies Se Ye Bhi Pta Chla Hai Ki Swimmers Ko Physiologically Ideal Rate Se Hi Breath Leni Chahiye, Or Wo 40-50breaths/Minute Ki Hai, Yani Har Ek Cycle Ke Baad Ek Breath Lena.
Lekin 100m Freestyle Ke Liye Kya Better Hoga? Jaha Swimmers Ki Energy 2 Equal Parts Me Divide Ho Jati Hai Kyuki First 50m Me Anaerobic System Ka Aur Last 50m Me Aerobic Ka Use Hota Hai. To 100m Freestyle Ke Liye Ideal Breathing Kya Hai?
Do Primary Reason Ke Karan, Hame Lgta Hai Ki Jo Breathing Patter Hai Wo Elite Male Or Female Swimmers Ke Liye Alag Alag Hota Hai Kyuki Female Swimmers Male Swimmers Se Jyada Aerobically Hoti Hai Jabki Man 100m Free Ke Liye Jyada Aerobic System Ki Help Lete Hai. Jahir Si Baat Hai Kyki Male Swimmers Ke Pass Larger Muscles Hoti Hai, Jisse Jyada Lactate Produce Hota Hai.
Elite Swimmers Ki Study Jrur Kre
Jyadatar Jitne Bhi Male Elite Swimmers Hai Wo Har Cycle Ke Baad Breath Lete Hai Jabki Jitni Bhi Female Elite Swimmers Hai Wo First 50 Ke Liye 1:3 Ka Patter Use Karti Hai(1 Breath Per 3 Strokes) Or Iss Patter Me Wo Bilateral Breathing Ka Bhi Use Krti Hai. Ya Ek Or Patter Hai Wo Dekha Gya Hai Wo Hai 1:4 Ka Jisme Same Side Hi 1 Breath Per 4 Stroke Ka Use Hota Hai.
Usa Ki Simone Manuel 1:4 Patter Ka Use Karti Hai Or 1:4 Ke Theek Baad 1:2 Patter Ka, Jo Ki 1:3 Patter Ke Equivalent Hi Hai. Or Last Ke 5-8 Stroke Me Dono Male Or Female Koi Bhi Breath Nahi Lete Or Apne Stroke Ka Rate Bhi Increase Kar Dete Hai. Caeleb Or Nathan Adrian Dono 100m Me 35-38 Breath Per Minute Ki Rate Se Breath Lete Hai.
Best Breathing Pattern For Swimmers
Jo Patter Mai Aapko Btane Ja Rha Hu Uska Use Karke Aap Kafi Improve Kar Skte Hai.
Aap First 50 Ke Liye 1:4 Ya 1:3 Patter Ka Use Kre Or Last 50 Ke Liye 1:2 Ka Use Kre Isse Overall 30-35 Breath Per Minute Ka Rate Aapko Mil Jayega, Jo Ki Ideal Rate Se Match Karta Hai.
100m Freestyle Sprint Race Nahi Hoti Balki Isme Pura Game Oxygen Ke Amount Par Hi Depend Hota Hai, Or Last 50 Me First 50 Ke Respect Me Jyada Oxygen Ki Jarurat Hoti Hai Isliye Maine Last 50 Ke Liye 1:2 Pattern Kaha Hai. Agar Last 50 Me Oxygen Ki Value Kam Hogi To Aap Finish Karte Karte Apni Speed Kho Denge Kyuki Apni Muscles Me Lactate Bnne Lgega Jo Apni Muscles Ko Work Krne Se Rokega Or Aapki Speed Dhire Dhire Slow Ho Jayegi.
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega