Swimmer Tanish George Mathew China Me Shuru Hone Wale 19th Asian Games Mein Strong Finish Ko Target Kar Rahe Hai. 19-Year-Old Ke Ye Swimmer 12-Member Men’s Swimming Squad Ka Part Hai Jo Ki Swimming Federation Of India Ne Announce Kiya Hai Last Month Un Games Ke Liye Jo Ki September 23 To October 8 Se Hone Wala Hai.
“Mai Bahot Excited Hun Aur Ek Ache Performance Ke Liye Confident Bhi,” Tanish Ne Gulf News Se Kaha. “Mera Main Aim Hai Un Sabhi Events Jisme Mai Compete Karunga Usme Finals Tak Pahochu Aur Best Results Achieve Karu,” Tanish Ne Aqua Nation Sports Academy, Dubai Mei Games Ke Liye Ho Rhe Training Session Ke Dauran Kaha.
India Ki Junior Team Ka Part Rahte Huye Ye Pahli Baar Hai Jab Tanish Ne Senior National Team Mei Apni Place Fix Ki Hai. Pure Saal Unki Consistent Performance Aur Recently Hi Conclude Huye India’s Senior National Aquatic Championship, Hyderabad Mei Unki Performance Ne China Mei Hone Wale Event Mei Apni Jagah Pakki Karne Mei Kaafi Help Ki.
“Mai Junior Team Ka Part Rah Chuka Hun Aur India Ko World Junior Championship Mei Represent Bhi Kiya Hai But Ye First Time Hai Ki Mai Senior National Team Ka Part Hun. Isliye Mai Super Excited Hun Q Ki Wo Saare Seniors Jinhe Mai Apna Idol Manta Tha Wo Bhi Isi Team Mei Hai Aur Mai Unse Sikhne Ke Liye Puri Tarah Se Taiyar Toh Hu Hi Sath Hi Team Ka Hisaab Banne Ke Liye Bhi, Unhone Add Krte Huye Kaha.
Tanish Ka Main Focus Hoga 4×100 And 4×200 Freestyle Games Par Jiske Liye Wo Dubai Mei Specific Training Bhi Kar Rahe Hai. “Mere Main Events Honge 4×100 And 4×200 Freestyle But Mai Hope Kar Rha Hun Ki Mujhe 100 Aur 200 Freestyle Mei Bhi Chance Mile.”
India Squad: (Swimming, Men): Aneesh Gowda, Advait Page, Aryan Nehra, Anand A S, Kushagra Rawat, Likith S P, Sajan Prakash, Srihari Nataraj, Tanish George Mathew, Utkarsh Patil, Vishal Grewal And Virdhawal Khade. Women: Anannya Nayak, Dinidhi Desinghu, Hashika Ramchandran, Linyesh AK, Maana Patel, Nina Venkatesh, Palak Joshi, Shivangi Sarma And Vritti Agarwal.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi