2021 Olympic ke organizers ne zahir kiya hai ki games to honge lekin ek former Olympic organizer ne ye suggest kiya hai is pandemic ke beech Olympics ka hona possible nahi lag rha.
Sir Keith Mills jo ki London 2012 ke chief executive rah chuke hai, unhone apne BBC ke sath hue ek interview me btaya ki Mills ko lgta hai ki 2021 ke Olympics ka Tokyo me hona unko possible najar nahi aa rha hai kyuki is time Tokyo khud emergency me hai because of coronavirus pandemic.
“Personally, duniya bhar me pandemic ko dekhte hue mujhe ye khna pad rha hai ki Olympics ka hona bohot unlikely hai, agar me Tokyo ki organising committee me hota to mai plan kar rha hota cancellations ke liye.”
Mills ne btaya ki unko lagta hai ki “organizers last minute tak wait krenge” uske baad hi cancellation ka decision lenge.
Halhi ki news me IOC ke president Thomas bach ne ye btaya tha ki wo bahut confident hai ki Olympics 2021 me ho jayega lekin January me Tokyo ne coronavirus emergency ka official statement jari kiya. Uske baad IOC ne fir-se ek baar ye declared kiya ki wo apne Tokyo ke plans ko continue krenge.
Lekin Mills ka comment public ke vishwas ke roop me dekha ja rha hai, kuch din phle hue two polls me 80% Japanese logo ka ye manna tha ki Olympics ko fir se cancel ho jana chahiye.
Olympic summer 2020 ke liye scheduled tha lekin ab usko 21 july se 8 august 2021 par fir se schedule kar diya gya hai.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.