Hello Swimmers, 2018 Khtm Hone Ja Rha Hai And New Year Ki Shuruwat Hone Ja Rhi Hai. To Kya Aap Tyar Hai 2019 Ko Bhi Golden Bnane Ke Liye ? 2018 Me Jo Galti Hui Hai Usko Improve Krne Ke Liye ?
Jaha Kuch Swimmers Apni 2018 Ki Performance Se Puri Tarah Satisfy Hue Hai Wahi Kuch Swimmers Apni 2018 Ki Performance Se Satisfy Nahi Hue Honge. Lekin Jo Ho Gya Hai Uspar Sirf Utna Hi Sochna Chahiye Jisse Aapke Aane Wale Future Par Negative Affect Na Ho. Iska Matlb Jo Bhi Bad Races Hui, Jisme Aap Acha Perform Nahi Kar Paye Uske Baare Me Apko Sochna Chahiye Lekin Sirf Unn Races Me Hui Galtiyo Ko Jaane Ke Liye Lekin Maine Kafi Swimmers Ko Dekha Hai Jo Apni Purani Races Ko Soch Soch Kar Apna Motivation Hi Down Kar Lete Hai. Ye Chiz Aapko Nahi Krna Hai Apko Race Me Ki Gayi Mistakes Ko Seriously Lekar Uspr Pure Focus Ke Sath Work Krna Hai. Isliye 2018 Se Sikhiye And 2019 Me Improve Kriye.
Ham Jante Hai Indian Swimmers Ki Performance Har Year Behtar Hote Ja Rhi Hai Isliye Swimmers Piche Na Rah Jaye Isliye Swimmers Ko Bhi Khud Ki Performance Behtar Krni Pdegi. And Performance Behtar Krne Ke Liye Swimmers Ko Apni Har Choti Se Choti Stroke Analysis Krni Hogi. Turn, Breathing, Dolphin, Finishing, Streamline, Dps, Hand Recovery Phase, Pull Phase Ye Sab Kuch Aisi Chiz Hai Jispr Swimmers Kahi Na Kahi Apni Race Har Jate Hai. Iske Alwa Bhi Swimmers Apne Coach Ke Sath Mil Kar Analysis Kar Sakte Hai.
Mai Sare Swimmers Ko Yahi Advice Dena Chahunga Ki Wo Apni 2018 Ki Sari Performance Ko Ek Jagah Note Kar Le And Jisme Jisme Unko Lgta Hai Ki Improvement Ki Jarurat Hai Wo Bhi Likh Le And 2019 Ki Shuruwat Se Hi Uspr Work Kre.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi