Marwadi University mei MBA kar rhe Jigar Thakkar cerebral palsy disorder ke sath born huye the aur unhe PM ki ‘Mann Ki Baat’ program mei recognize kiya gya tha.
Gujarat based swimming champion Jigar Thakkar ne Udaipur mei hui Para-Swimming Championship mei gold medallist jeetne walo ki list mei apna naam darz kara liya. 400 se bhi jyada paralympic swimmers ke sath national-level championship pr compete krte huye unhone 2 silver medals bhi jeete hai.
Thakkar cerebral palsy ke sath born huye the, ye ek aisa group of disorder hai jo mobility, posture aur muscle tone ko affect krta hai. Apne therapist ki advice mante huye Jigar ne 8-years-old mei hi swimming start kr di thi. Unhe Prime Minister Modi ne ‘Mann Ki Baat’ program mei recognize bhi kiya tha.
“Is two-day championship ne mujhe meri skills, patience aur competitiveness mei meri approach ke liye test kiya. Is samay ke dauran, maine Marwadi University mei faculty members ki di gyi motivation aur mentorship ko recall krta tha,” Jigar Thakkar ne kaha.
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi