25 year old para swimmer Punith Nandakumar ne 30 May se 2 June Tak Berlin me aayojit para swimming world series me surkhiyan batori, jo para swimming Callender me sabse most prestigious events me se ak hai. 63 Nations ke 400 se jada swimmers ke saath compete karte huye unhone S8 category me 200 meter butterfly event me part liya, 3:17:88 ki timing ke saath New Asian record banaya aur kul milakar 7th place haasil Kiya.
Nand Kumar ki iss achievement tak ki journey unke dedication and resilience ka praman hai. Janm ke samay Janmjaat vichhedan ke saath unhone hamesha apne tarike se kaam karne ke liye khud ko dhala hai. Unhone bataya, “ bachpan se hi mujhe normal tarike se kaam karne ki aadat thi.” Spain ke David Sanchez Sierra ne 2:38:09 ka impressive time nikalkar iss competition ko jeeta. Punith ne kaha, “main ak Naya Asian Record banakar thrilled hun. Yah mere swimming career me ak important milestone hai, aur I hope ki yah dusron ko apne challenges se and goals achieve karne ke liye encourage karega.” Punith, coach John Christopher me guidance me Basavanagudi Aquatic Centre me training lete hain. Unki rigorous training regimen aur unke coach ka support unki success me mahatvapoorna raha hai. Apne athletic pursuits ke alawa wah Government of India ke Income tax inspector bhi hain.
Demanding career aur intensive training sessions ke beech balance koi chhoti uplabdhi nahi hai but Punith dono fields me utkrishthta haasil karne me safal rahe hain. Swimming me unki achievements national & international level par kai awards and recognitions dilai hain. Wah world ke do sabse bade Para sporting events, Indonesia me Jakarta me Asian Para Games 2018 aur China ke Hangzhou Asian Para Games 2022 me 4th place pe rahe. Unhone Sharjah me IWAS World Games 2019 me 2 Gold, 1 Silver aur 3 Bronze Medals jeete, 2019 me Poland me Winter Polish Open Swimming Championship me 1 Silver medal aur 2018 me Indian Open para swimming me 4 silver medals jeete. AP Punit ne 2012 me South Korea me 6th World Taekwondo Culture Expo me 2 silver medals jeete. Unhone 2017 aur 2018 me Germany me IDM Berlin World Series championship kr saath saath 2019 aur 2023 me Singapore me world para swimming series me India ko represent Kiya hai.
Iss aayojan me India ko taraf se ak aur notable performance Shridhar Nagappa Malagi ka raha, jo 3:28.13 kr samay ke saath top 10 me rahe. Unki achievements Global Stage par Indian Para Swimmers ki badhti takat ko aur ujagar karti hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi