Shillong Mei Chal Rhi 2nd North East Olympic Games Ke Third Day Ke Action Ke End Tak Assam Ne Overall Medals Tally Par Lead Bana Liya Tha.
Assam Ne Ab Tak 17 Gold, 11 Silver, Aur 9 Bronze Medal Jeet Kar Apne Naam Kar Liya Hai. Aisa Kar Ke Wo 2018 Ke Champions Manipur Se Bhi Aage Aa Chuke Hai, Jinke Paas Currently 11 Gold, 12 Silver Aur 13 Bronze Medals Hai.
Arunachal Pradesh 3rd Par Hai Unke Paas 7 Gold, 6 Silver Aur 4 Bronze Medals Hai.
Mizoram 4th Par Hai 4 Gold, 4 Silver Aur 8 Bronze Medals Ke Saath.
Host Meghalaya 5th Position Par Hai 1 Gold, 5 Silver Aur 9 Bronze Medals Ke Saath. Nagaland Ke Paas Bhi 1 Gold Medal Hai Par Ye Megahlaya Se Piche Hai Q Ki Inke Paas 0 Silver Medals Hai Aur 4 Bronze Medals.
Sikkim 7th Place Par Hai, Unke Paas 3 Silver Aur 8 Bronze Medals Hai Uske Baad Tripura Hai Jinke Paas 8 Bronze Medals Hai.
Assam Ki Team Ki Is Kamyabi Ke Piche Unke Swimmers Ki Behatreen Performances Rahi Hai Ab Tak.
Sirf Ek Hi Swimming Gold Jo Unhone Nhi Jeeta Wo Hai 50m Backstroke Mei Jisme Manipur Ke Sarungbam Athouba Meitei Ne Gold Medal Apne Naam Kiya Tha.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.