You are working on Staging1

5 Behtreen Mental Hacks For Swimmers

Tumne Apni Traning Kafi Acche Se Kri Hai, Apna Nurtition Plan Bhi Puri Lagan Se Follow Kiya Hai Or Wo Din Aa Chuka Hai Jiske Liye Tumne Aaj Tak Itne Sare Compromises Kiye Hai – “The Race Day”, Feeling Nervous ?? Race Day Ke Din Jitters(Kafi Jyada Chinta) Hona Bahut Hi Common Chiz Hai Lagbhag Har Kisi Ko Hoti Hai Or Sabse Jyada Use Hoti Hai Jisne Is Din Ke Liye Kafi Mehnat Kari Hai. Aap Race Ke Din Apni Body Ke Sath Sath Apne Dimag Ko Bhi Kafi Push Krte Hai. Or Aaj Usme Mai Extra Push Lekar Aaya Hu Jo Aapko Race K Din Nervous Nahi Balki Focus Rakhne Me Kafi Madad Krega. To Chaliye Dekhte Hai 5 Khas Mental Hacks For Swimmers:-

 

  • Khud Par Focus Rhna(Focus On You)

 

Kisi Bhi Game Me Top Par Rhne Ke Liye Kewal Ye Nahi Jaruri Hai Ki Aap Physically Prepare Ho, Balki Mentally Prepare Hona Jyada Important Hai Kyuki Maine Aisa Kafi Baar Dekha Hai Ki Acche Se Accha Swimmer Race Wale Din Nervous Hokar Apni Puri Performance Khrab Kar Deta Hai. Isliye Mentally Strong Hona Jaruri Hai. Or Iske Liye Phla Step Hai Ki Race Wale Din Aap Kisi Or Swimmer Par Dhyan Na Dekar Khud Par Focus Kre, Or Soche Ki Tumko Khud Ke Sath Race Krni Hai Or Apne Personal Best Time Ko Piche Karna Hai. Ya Aap Apne Man Me “I Am The Best” Jaisi Koi Line 5-6 Baar Bolke Khud Ko Ek Safe Zone Me Rakh Skte Hai. Khud Par Focus Krna Matlb Baki Sare Distraction Se Dur Rakhna Hota Hai.

2) Visualize, Visualize, Visualize

Mental Preparation Jyadatar Olympians Or Elite Level Ke Athletes Krte Hai Lekin Yah Tarika Beginners Se Lekar Top Level Ke Swimmers Ke Liye Kafi Jaruri Hai Agar Aap Beginner Stage Se Hi Menatally Prepare Hai To Aapako Aage Jyada Mehnat Nahi Krni Pdegi.

Visualize Karna Matlb Ki Sochiye Ki Kaise Lagega Jab Aap Apna Aim Pa Jayenge Aur Ye Bhi Sochiye Ki Kaise Khrab Se Khrab Stage Par Aap Khud Ko Balance Kar Skte Hai.

Sone Se Phle Or Race Ke Pahle Thoda Time Akele Me Baith Kar Sirf Visualize Kariye Or Ye Sochiye Ki Race Ko Jitne Ke Baad Kaise Feel Hoga, Medal Ko Apne Gle Me Visualize Karke Dekhiye. Visualize Kariye Ki Kaisa Aap Feel Krenge Jab Aap Apna Personal Best Time Piche Kar Denge.

Positive Sochiye Or Apne Dimag Ko Mentally Prepare Kariye.

3) Success Mantra

Kya Apke Pass Koi Aisi Line Hai Jo Apko Inspire Kre ?? Kyuki Kuch Lines Aisi Hoti Hai Jinko Baar Baar Repeat Krne Se Aap Khud Ko Motivate Kar Skte Hai. Kuch Athlete Apni Line Khud Bnate Hai Or Kuch Unhi Line Ka Use Krte Hai Ye Fark Nahi Pdta Ki Line Kisne Bnayi Hai Balki Fark Is Baat Ka Hota Hai Ki Kya Wo Line Apki Help Karti Hai.. Or Kuch Line Mai Apko Btata Hu Jo Sayad Apki Help Kre:- Isko 7-8 Baar Man Me Ya Akele Me Bole

  1. I Am The Best
  2. I Am The Fastest
  3. I Will Touch The Wall First
  4. I Am The Winner

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »