District Mei Sports Ko Promote Krne Ke Liye 1966 Mei Mahavir Stadium Banaya Gya. Par 50 Years Ho Jaane Ke Baad Bhi Sports Department Ne Apna Koi Swimming Pool Nhi Banwaya. Aaj Ke Time Mei Hisar, Haryana Mei Government Swimming Pools Na Hone Ki Wajah Se Swimmers Ko Private Academy Mei 5000 Rs De Kar Bhi Practice Krna Pdta Hai. Wahi Pr National Aur International Level Ki Preparation Ke Liye Kuch Swimmers Toh Hisar Ke Bahar Jaa Kr Swimming Sikh Rhe Hai. Kisi Ke Bhi Physical Aur Mental Development Mei Sports Ka Role Bahot Important Hota Hai Aise Mei Sports Ko Promote Krne Ke Liye Aur Uske Development Ke Liye Har Saal 6th April Ko International Sports Day Celebrate Kiya Jaata Hai.
Yaha Ke Athletes Ka Manna Hai Ki Hisar Ko Sports Ka Hub Maana Jaata Hai. Yaha Se Kai Sports Mei National Se Le Kar International Level Ke Player Bhi Nikle Hai. Par Yaha Pr Sports Department Ne Abhi Tk Ek Bhi Swimming Pool Nhi Bnwaya Hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi