ALL ABOUT 5TH LARGEST OPEN WATER SWIMMING COMPETITION.
- Bhagirathi River, Open Water Swimming Competition ke liye longest hai pure world mei.
- 5 km ki lambi race subah 5 baje Ahron Barrage jo ki Farakka Barrage ke paas hai waha se start hui.
- Total 8 participants ne is event mei participate kiya tha.
- Jisme se, 3 male aur 5 females thi.
Ye 5th largest Open Water Swimming Competition Sunday ko Bhagirathi River mei hua. Subah 5 baje, Ahiron Barrage jo ki Farakka Barrage ke paas hai waha se ye 5km lambi race start hui. Aur ye race Gorabazar Ghat, Moharmpur jo ki Murshidabad mei hai waha par khatam hui. Is race mei total 8 contestants ne participate kiya tha jisme 3 male the aur 5 females thi.
Keval West Bengal hi nahi balki aur bhi states jaise Gujarat, Karnataka aur Maharashtra jaise states ke swimmers ne bhi participate kiya tha. Is race mei Bangladesh aur Netherland se bhi swimmers ne participate kiya tha.
Yah competition bahot pahle se hi hota aa raha hai. Aur tab se hi ye world ka Longest Open Water Swimming Competition hai. Pichle 5 saalo se Murshidabad Swimming Association is competition ke organizer hai. Swimming Federation Of India ne is event ko National Competition ki tarah recognize kiya hai.