Swimming Se Poore Body Ka Yoga Ho Jata Hai Sirf Aadhe Ghante Swimming Kerne Se Apki Body Me Se 440 Calorie Tk Km Ho Jati Hai Kai Baar Swimming Kerene Se “Tanning” Jaisi Problems Bhi Ho Sekti Hai
Tanning Se Bachne Ke Liye Zaroori Hai Ki Pool Me Uterne Se Pehle Ap Apne Body Pe Ache Se Moisturizer Lga Le Is Blog Ke Zeriye Hum Apko Btane Ja Rhe Hai Swimming Kerne Se Hone Wale Benefits
(Ye Article Shobhit Pal(Professional Swimmer) Dwara Likha Gya hai).
- Stress Se Rahat Dene Aur Apke Heart Ko Majboot Kerne Me Swimming Kafi Help Kerti Hai
Swimming Ek Art Ke Saath Yoga Bhi Hai Ye Health Ke Liye Bahut Hi Faydemand Hai Swimming Kerne Se Kyi Types Ki Bimario Ka Khtra Bhi Km Hota Hi Hai Saath Hi Apki Body Bhi Majboot Hoti Hai.
- Khoon Ka Prabhav Badhta Hai
Swimming Kerne Se Body Ke Andar Khoon Ka Prabhav Badhta Hai Aur Apko Tenaav Or Dard Se Raahat Milti Hai Khoon Ka Prabhav Badhne Se Ap Chust Aur Tandrust Rehte Hai Aur Kisi Bhi Kaam Ko Zyada Mn Lga Kr Kerte Hai.
- Muscles Badhane Me Help
Ydi Aap Regular Swimming Kerte Hai To Apko Koi Aur Exercise Kerne Ki Zaroorat Nhi Hai Swimming Kerne Se Apki Muscles Badhti Hai Aur Mazboot Bhi Hoti Hai Swimming Kern Ke Dauraan Zameen Pe Exercise Kerne Ki Tulna Me 12x Jyada Mehnat Lagti Hai Swimming Kerne Se Apki Body Ke Joints Kafi Powerful Hote Hai
- “Arthritis” Rog Se Bachav
Arthritis- Jisme Haddiyo Ke Joints Me Problem Ho Jati Hai
Regular Swimming Kerne Se Apke Body Ke Joints Majboot Hote Hai Joints Majboot Hone Se Apko Future Me Arthritis Namak Rog Ka Khtra Km Ho Jata Hai Arthritis Se Bechav Ke Liye Kyi Aur Type Ki Aerobics Exercise Kerne Ki Selaah Bhi Di Jati Hai Hot Water Se Sikai Kerne Pr Bhi Arthritis Ke Pain Se Relief Milta Hai.
- Body Me Lachilapan
Body Me Zyada Se Zyada Lachilapan Lane Ke Liye Kai Log Gym Aur Other Exercises Ki Help Lete Hai Swimming Kerna Ek Aisa Gym Hai Jisse Apke Body Ke Har Part Me Lachilapan Bna Rehta Hai.
- Heart Powerful Hota Hai
Swimming Ek Type Ki Aerobics Exercise Hai Aur Is Se Apke Dil Ki Muscles Kafi Mazboot Hoti Hai Isse Apke Pure Body Me Khoon Ka Sanchaar Kafi Acha Rehta Hai Kyi Research Se Ye Bhi Saamne Aaya Hai Ki Daily Aadhe Ghante Tk Swimming Kerne Se Ladies Ko Coronary Heart Disease Hone Ka Khatra 30 Se 40 % Tk Km Ho Jata Hai.
- Wait Los Kerne Me Helpful
Kyi Baar Log Sochte Hai Ki Pani Ka Temperature Body Ke Temperature Se Kam Hota Hai Is Liye Swimming Se Wait Loss Nhi Ho Sekta Jabki Realty Ye Hai Ki Swimming Ko Calorie Burn Wale Best Exercises Me Mana Jata Hai Swimming Kerne Se Wait Control Rehta Hai Aur Fat Bhi Km Hota Hai Daily 30 Minutes Swimming Kerne Se 440 Calorie Kam Hoti Hai.
- Good Cholesterol Badhata Hai
Healthy Rehne Ke Liye Zaroori Hai Ki Apke Body Me Bad Cholesterol Km Ho Body Me Good Cholesterol Yani H.D.L Jyada Hai To Ye Apke Liye Zyada Helpful Saabit Hota Hai Week Me Bs 5 Din Swimming Kerne Se Body Me Cholesterol Ki Quantity Control Me Rehti Hai.
FACEBOOK PAR SWIMSWAM HINDI KO LIKE KARNA NA BHULE:- SWIMSWAMHINDI