Ham Sab Jante Hai Ki Agar Ham Apne Baccho Ko Bachpan Se Hi Jis Chiz Ki Adat Lgwa De To Wo Baccha Uss Chiz Ke Sath Comfortable Feel Krne Lgta Hai Or Ek Trah Se Wo Uski Life Ka Ek Part Ban Jata Hai, To Kyu Na Uss Chiz Ko Ham Apne Nanhe Swimmers Par Apply Kare? Niche Maine 6 Points Btaye Hai Or 3 Ko Explain Bhi Kiya Hai Aap Use Dekhe Or Smjhe Or Uske Baad Apne Swimmers Ko Uss Trah Se Chlne Me Help Kre.
- Roj Ek Champion Ki Tarah Utho
- Roj Khud Ko Tasks Do
- Apne Targets Ko Apne Coach Ke Sath Share Kro
- Healthy Rehne Ke Bare Me Active Rho
- Ek Achhe Teammate Bano
- Apni Swimming Knowledge Ko Other Swimmers Ke Sath Bato
Roj Ek Champion Ke Tarah Utho
Har Din Ko Apna Din Samajh Ke Utho Bina Kisi Chinta Ke Bina Kisi Wrong Thinking Ke Sath
Roj Khud Ko Task/Target Do
Swimming Me Sbse Achhi Baat Ye Hoti Hai Ki Har Roj Koi Na Koi Task Milti Hai Cahe, Vo Apne Peechle Time Ko Better Kerne Ke Liye Ho Ya Phir Koi New Workout Kerne Ki, Jaise Ki Apke Ke Samne Ye Chunati Hai Ki Apko 12*100 Meter Freestyle Swimming 1:10 Me Kerna Hai, Pehle To Lgega Ki 4-5 Lap To Ho Sekta Hai Lekin Uske Bad Body Koi Na Koi Behana Sochne Lagti Hai Lekin Agar Ap Isko Ek Chunauti Ke Roop Me Dekhte Hai To 1 Ya 2 Weeks Ke Baad Ap Yhi Workout 1:05 Me Kerenge Aur Khud Ki Growth Dekh Kr Apko Confidence Hone Legega Ki Ap Isse Bhi Better Kr Sekte Hai Jo Ki Ek Achha Symbol Hai.
Apne Targets Ko Apne Coach Or Parents Ke Sath Share Karo
Michael Phelps Ne Jo Haasil Kiya Vo Kabhi Haasil Na Ho Pata Agar Phelps Apne Coach Bob Bowman Ke Sath Shi Taalmel Na Rakhte, Ye Humesha Yaad Rakhiye Ki Apne Coach Ke Sath Achha Talmeal Humesha Bna Ke Rakhna Cahiye Ap Apne Target Ko Apne Coach Ke Sath Mil Kr He Haasil Kr Sekte Hai Kyuki Safalta Ka Rasta Sirf Ek Coach He Bta Sekta Hai, Apka Target Ek Wajandar Bojh Ho Sekta Hai Isliye Is Bojh Ko Halka Kerne Ke Liye Ap Apne Coach Se Sidhe Jakar Ispr Baat Keriye Aur Unko Apna Target Btaiye Or Plan Kriye Ki Kaise Aap Usko Hasil Kar Sktte Hai.
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega