Swimming Ek Aisa Sports Hai Jisko Kisi Bhi Age Me Sikha Ja Skta Hai, Swimming Krne Se Human Body Ke Har Part Ki Exercise Kafi Achi Trike Se Hoti Hai. Swimming Ek Aisa Sports Hai Jo Na Sirf Body Ko Fit Rkhta Hai Balki Ek Tarah Se Dekha Jaye To Ye Life Bhi Bachata Hai Kyuki Beaches Par River Me Kafi Log Har Year Doob Jate Hai. Or Mera Ye Bhi Man-Na Hai Ki Jo Log Swimming Karte Hai Wo Bakiyo Se Kafi Active Hote Hai Mind Se Bhi Or Physically Bhi. Or Aisa Bhi Nahi Hai Ki Swimming Sikhne Ke Liye Apko Apna Sabkuch Chod Kar Sirf Swimming Par Dhyan Dena Pdega, Aap Swimming Per Day 1hr Ka Time Deke Bhi Kafi Jaldi Sikh Skte Hai, Isliye Swimming Ko Jrur Sikhe.
Ho Skta Hai Aap Swimming Sikhne Ke Baad Competitive Swimming Ki Line Me Accha Kre Or National Level Tak Bhi Ja Skte Hai, Lekin Aagar Aap Competitive Swimming Nahi Bhi Krte Hai Tobhi Aapki Body Ka To Fadya Hoga Hi Na. Bahut Se Swimmers Hote Hai Jo Swimming Me Admission Isliye Lete Hai Ki Wo Ek Extra Chiz Sikh Lenge Lekin Fir Waha Se Wo Swimming Itni Acchi Tarike Se Sikhte Hai Ki Wo National Me Bhi Kafi Accha Krte Hai. Gym Or Swimming Agar Dono Me Se Ek Chiz Apko Select Krna Ho To Aap Swimming Ko Hi Select Kre Kyuki 1hr Ki Swimming Apke Body Se Jitni Calories Burn Krti Hai Sayad Gym Me Aap Utni Calories Na Burn Kar Paye.
Health Benefits Of Swimming
- Heart Rate Normal Rkhti Hai
- Endurance Increase Karne Ke Liye Kafi Faydemand Hai
- Body Ko Over Weight Hone Se Rokti Hai
- Strength Increase Karne Ke Liye Best Hai
- All Over Body Workout Ki Single Exercise Swimming Hai
- Posture Ko Improve Karti Hai Swimming
- Flexibility Ka Improvement Hota Hai
Swimming Har City Me Easily Available Rhti Hai, Isliye Sabko Swimming Ka Labh Lena Chahiye.
MP Journey with Michael Phelps and Bob Bowman Juggling Priorities ka video agar apne dekha hai to apko pta hoga ki Bob Bowman and Michael phelps dono ka bhi yahi mann-na hai ki swimming krne wale Kisi Bhi field me accha kar skte hai. Agar Aap Kisi Field Me Mediocre Hai To Definitely Aap Lagbhag Har Field Me Mediocre Ban Janyenge Jo Ki Kafi Acchi Baat Hai.
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega