You are working on Staging1

Swimming Me Improvement Ke Liye Jruri Hai Video Analysis

Braden Keith
by Braden Keith 0

October 17th, 2018 Hindi

Bahut Se Swimmers Ko Ye Problem Hogi Ki Vo Stroke Ki Shi Technique Nhi Samajh Pate Jaahir Si Baat Hai Ki Swimmers Khud Ki Technique Ko Pani Me Swim Kerte Wqt Nhi Dekh Sakte, Aajkal Smartphone Sabke Pass Hai And Uska Use Log Lagbghag Har Field Me Kar Rhe Hai Iska Ek Kafi Accha Use Swimmers Kar Skte Hai Jaise Wo Swimming Kerte Wqt Apni Video Recoding Kerwa Ke Usko Dekhe To Swimmer Apne Stroke Ke Plus And Negative Points Ko Dekh Skta Hai And Usko Correct Karke Improve Bhi Kar Skta Hai. To Chliye Dekhte Hai Ki Kaise Swimmers Khud Ki Video Ki Help Se Easily Improve Kar Skte Hai:-

Soulder Ki Injuries Se Protect Krna

Kandhe Me Chot Lagna Ek Galat Technique Ki Or Ishara Karta Hai Galat Stroke Technique Se Kyi Swimmers Ke Kandho Me Chot Lag Jati Hai And Unko Doctor Ke Pas Jana Pad Jata Hai Jisse Unke Swimming Practice Me Bhi Loss Hota Hai. Inn Chizo Se Bachne Ke Liye Shi Tarika Hai Ki Swimmer Apne Stroke Technique Pe Dhyan De Jb Swimmer Apne Stroke Ka Analysis Kerenge To Unko Ye Baat Pta Chalegi Ki Unki Body Ke Kiss Part Par Jyada Work Karne Ki Jarurat Hai. Stroke Me Me Ek Choti Si Bhi Gadbadi Swimmer Ko Doctor Tak Le Ja Sekti Hai Isi Liye Swimmers Ki Swimming Ka Analysis Karna Bahut Important Hai. Swimmers Khud Ki Swimming Video Ki Help Se Easily Apne Stroke Ka Analysis Kar Skte Hai.

Right Knowledge

Jitna Jyada Kisi Chij Ke Bare Me Aap Janenge Utna Jyada Us Chij Pe Apka Control Hoga Jaise Ki Swimming Me Technique Par Focus Karne Ke Liye Thoda Time Lagta Hai Lekin Agar Apko Technique Ki Shi Jankari Hai To Apko Bakio Se Km Time Lagega  Isliye Technique Par Kam Kerne Se Pehle Uski Jankari Lena Bahut Zaroori Hai. And Time To Time Aap Khud Ki Swimming Ki Video Ko Dekh Kar Apni Progress Bhi Measure Kar Skte Hai.

Video Ki Help – Best Way

Agar Apko Samajh Nhi Hai Ki Ap Kya Galat Kr Rhe Ho To Ya Kaise Apka Stroke Improve Hoga To Ho Skta Hai Apko Bahut Time Lge Apne Stroke Ko Perfect Karne Me. Apki Swimming Video Apko Swimming Me “Ki Gyi” Ya “Ho Rhi” Galtyio Ko Achhe Se Dikha Sakti Hai. Isliye Mai Isko Sabse Best Tarika Manta Hu.

Sbse Behter Yhi Hota Hai Ki Ap Apne Swimming Ke Video Ko Apne Coach Ke Saath Share Krke Uspr Baat Kre Apni Ki Gyi Galtyio Ko Kaise Sudhar Sakte Hai Uspr Foucs Kre.

News, Tips And Workout Ke Liye Aap SwimSwam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi SwimSwam Hindi Ko Like Kar Le.

Join Us:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »