Butterfly technique
yha kuch special technique di hui hai jo butterfly ko improve kerne mai help keregi.
Arm action
- Swimmer ko jitna possible ho sake utna apne body ko water ke level ke pass rakhne ki koshish kerna cahiye, kyuki jitna swimmer water ke level ke pass utna he streamline position mai rehega aur jo water ke drag ko km aur speed growth kerne mai helpful rhega
- Arm jab pehle stroke ke sath water ke outside aate hai to is baat ka dhyan rekhna cahiye ki dono hands ek sath water ke bahar nikle yani dono arms ek sath work kernege, aur iske baad dono hands bilkul sidhe swimmer ke head ke front mai aaynge , isko kerne ke liye koshish keriye ki swimmer ke dono arms uske ears se touch ho, aisa kerne se hands sidhe rehenge
- Iske baad aksar swimmer jo mistake kerte hai wo hands ko sidhe water ke surface se sidhe andar kerne ki koshish kerte hai jabki shi tarika ye hai ki thumb se water ki surface pe entry kerai jay
- Maine kafi swimmers dekhe hai jo butterfly pull ko direct kerte hai yani hand water ke inner jate he sidhe pull kerte hai jabki shi tarika dekha jay to swimmer Y shape banate hue pull kerta hai direct pull kerne se body ko utna push nhi mil pata jisse ek achhi speed mil pay
Kick action
- Butterfly mai kick action hips se aati hai aur ise dolphin motion bhi kehte hai jisme har stroke ke sath horizontal dolphin kick ki jati hai
- isme bahut se swimmers ye mistake kerte hai ki wo niche wali kick pr jyada power lga dete hai jabki dono kick pr same power legana cahiye taki ek proper lay bani rehe niche wali kick pull ke sath ki jati hai jebki surface wali kick hands aage late wqt
- swimmer ko apne dono leg jitna ho sake utna close kneels ko relax rekhna cahiye, total ek stroke cycle mai 2 kick he ki jati hai , aur sabse common butterfly breathing style front se breath lene ki hoti hai
Breathing action
- breath kerte wqt dhyan rekhe ki swimmer apne face ko aage kerke ek quick breath le Means breath lene ke baad apne head ko turnt water surface ke niche le ja kr breath ko nose (and kabhi kabhi nose and mouth dono) se chode is baat ka dhyan rekhna hoga ki swimmer ka head uske hands se pehle water mai entry lega
- kuch swimmers breathing side mai lete hai jabki kuch swimmers ka manna hai ki side se breath lene mai neck mai akadan hone lagti hai jyadatar swimmer har stroke ke sath breath lete hai lekin agar swimmer 100 ya 200 meter ki race kerte hai to har stroke pr breath lena thik hota hai lekin agar swimmer 50 meter ki race mai har stroke pr breath lete hai to wo speed ko dekhte hue sahi nhi rehta kyuki 50 meter mai apko sirf pool k eek side se dusre side he jana hota hai isliye isme 3 stroke ke baad ek baar breath lena shi hai .
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi