The Bridge Ki News Website Par Indian Swimmer Anshul Kothari Ka Ek Interview Article Publish Hua Jisme Anshul Ne Btaya Ki Kaise Bahut Se Log Unko India Ko International Level Par Represent Krne Ki Jagah Aaj Bhi Yahi Question Puchte Hai Ki “Job Kab Karoge”.
Anshul: Mai Iski Counting Bhul Gya Hu Ki Mujhse Kitni Baar Logo Ne Pucha Hai Ki Ap Swimming Ke Alawa Aur Kya Kaam Kerte Hai, Sport Ek Part Time Hai Apka, Lekin Main Job Kya Hai? Yhi Wo Soch Hai Jha Sabse Educated Log Bhi Wrong Thinking Rakhte Hai.
“Meri Job Mere Desh Ko Represent Krna Hai Aur Medal Jeetna Hai. Log Mante Hai Ki Game Mai Apne Desh Ko Represent Kerne Mai Jyada Mehnat Nhi Lagti Aur Ye Kaam Bahut Hi Easy Task Hai.” -Anshul Kothari
Taking The Example Of Swimming Ek Swimmer Normally Ek Week Mai 50 K.M And 4 Gym Session Kerta Hai. Cold Winter Ke Sath 50 Training Week Mante Hue Lagbhag Ek Swimmer 2500 K.M Plus 200 Gym Session Ko Complete Karta Hai.
Game Mai 21 Years Se Bhi Jyada , Meri Body Lagbhag 53000 K.M Swimming Kr Chuki Hai. Fir Diet ,Sleep, Balancing Academics, No Socializing Etc Chijo Pr Dhyan Dene Ki Jaroort Hoti Hai. Lekin Abhi Bhi Is Baat Ki Koi Guarantee Nhi Hai Ki Ek Swimmer Ek National Champion Hoga Ya Indian Swimming Team Mai Apni Seat Reserve Kr Payga
Medals Microseconds Ke Difference Se Hare Ya Jeete Jate Hai Apke Failure Ko Capitalize Kerne Aur Indian Team Mai Entry Ke Liye Kyi Log Wait Kr Rhe Hai.
The Work Behind A Medal
Sirf State/ National Pr Participate Kerne Aur International Level Pr Medal Jeetne Ke Beech Ka Difference Amazon River Jitna Hai Har 4 Year Mai Different Sector Ke Bahut Sare Arm-Chair Experts Olympic Mai India Ke Show Ke Bare Mai Comment Kerte Hai Bina Kisi Demo Ke Ki Yeh Noble Level Tk Pahuchne Ke Liye Kya Kerta Hai Agar Ye Itna Easy Hota To Lakho Log Sirf Game Ko Apna Career Ke Taur Pe Choose Kerte.