Butterfly, Cahro Strokes Me Kafi Jayda Tough Stroke Mana Jata Hai Kyuki Isme Coordination Ke Sath Sath Sahi Timing Ke Kafi Jarurat Hoti Hai. Agar Koi Swimmer Butterfly Krte Wakt Sahi Timing Nahi Kar Pata Hai To Butterfly Uske Liye Bahot Hard Ho Jati Hai And Speed Bhi Kafi Slow Ho Jati Hai. Lekin Butterfly Ke Roots Steps Ko Sahi Se Smjhne Ke Baad Agar Swimmers Chahe To Butterfly Me Kafi Acha Performance De Skta Hai.
Butterfly Ke Jo Roots Hai Wo Hai Catch, Press, Kick, Breathing, Hand Entry, Pull Pattern And Recovery. Iske Baad Bhi Ek Jo Khas Chiz Aksar Aapne Dekhi Hogi Wo Hai Breathing Pattern, Jaise Micheal Phelps Ne 2012 Olympics Me 100m Fly Me Apne 1st 50m Me Phli Breath 3rd Stroke Par Li Thi And Baki Ko Single Stroke Par And Last 50m Ke Turn Lene Ke Baad 2nd Stroke Ke Baad Breath Li And Uske Baad Har 1 Stroke Par.
Lekin Jruri Nahi Hai Ki Har Swimmer Isi Pattern Me Breath Le, Swimmer Apne Comfort Ke Hisab Se Breathing Pattern Choose Kar Skta Hai.
Jis Part Me Jyadatr Swimmers Faste Hai Wo Hai Dolphin Kick, Kyuki Dolphin Kick Me Swimmer Ko Apne Belly Ke Movement Par Control Krna Sikhna Hota Hai Jiske Baad Wo Dolphin Kick Ko Ache Se Perform Karta Hai. Actually Me Swimmer Jab Phli Baar Dolphin Kick Karta Hai To Wo Apni Upper Body And Lower Body Dono Ko Bhi Hilate Hue Dolphin Kick Ko Krta Hai Jo Ki Galat Bhi Hai And Swimmer Aisa Krne Ko Koi Momentum Bhi Nahi Gain Karta. Lekin Dhire Dhire Try Krne Se Koi Bhi Dolphin Kick Sikh Skta Hai.
Dolphin Kick Ka Use Sirf Butterfly Me Hi Nahi Hota Balki Under Water Kick, Turn Me Bhi Iska Kafi Major Role Hai.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Facebook► SwimSwam Hindi