Swimming Jaha Ek Tarah Lifesaving Activity Me Se Ek Hai Wahi Isko Sikhne Ke Baad Overconfidence Me Ye Jaanleva Bhi Ho Jati Hai. Aisa Isliye Kyuki Ham News Me Dekhte Hai Ki Summer Ke Shuru Hone Ke Sath Logo Ke Dubne Ki News Bhi Kafi Aati Hai. Aisa Kyu Hota Hai ? Jyadatar Case Me Swimming Na Aana Ek Wajah Hoti Hai Lekin Kuch Case Aise Bhi Hote Hai Jisme Ye Btaya Jata Hai Ki Dubne Wale Ko Swimming Aati Thi Fir Bhi Wah Dub Gya. Or Yahi News Ham Sabko Andar Se Kafi Bekar Feel Karati Hai Ki Kaise Ek Swimming Ke Sath Ye Ho Gya. Actually Iska Reason Ye Bhi Hai Ki Swimming Pool Ka Pani Ruka Hua Hota Hai Means Isme Koi Bhi Bhawar(Whirlpool) Nahi Hote. Jabki River Ya Sea Me Aapko Jagah Jagah Bhawar(Whirlpool) Dekhne Ko Mil Jayenge. Yahi Bhawar(Whirlpool) Swimming Krne Wale Insane Ko Swimming Krne Se Rokti Hai. Or Jisko Thik Se Swim Karna Nahi Aata Uske Liye Ye Bhawar(Whirlpool) Jaanleva Sabit Ho Skti Hai.
Baki Kuch Reason Jo Hote Hai Wo Hai Pani Ki Gharai Se Darr. Jaisa Ki Pool Ka Paani Clean Hota Hai And Ham Uski Ghrayi Apni Aakho Se Asani Se Dekh Skte Hai Lekin River, Sea, Pond Ke Pani Ki Gharayi Dekhna Namumkin Sa Hota Hai And Wo Itna Dark Hota Hai Ki Jisko Sahi Se Swim Krna Nahi Aata Ya Jo Pani Ki Ghrayi Ke Dark Rang Se Darrta Hai Uske Liye Ye Afaat Ban Jati Hai.
Pool Ke Alawa Kabhi Bhi Aapko Swim Karne Ka Man Kare To Bhale Hi Aap National Level Ke Swimmer Ho, Aapko Life Safety Chizo Ka Use Karke Hi Swim Krne Jana Chahiye.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule.
Facebook► SwimSwam Hindi