Lithuanian Ruta Meilutyte Jo Ki Olympic Champion Rah Huki Hai Possible Hai Ki Unko 2 Year Ka Suspension Mil Jaye, Aisa Kyu ? Kyuki Unhone Doping Tests Ko Miss Kiya.
Meilutyte Ne 1 Year Ke Time Me 3 Drug Tests Ko Miss Kiya Jo Ki World Anti-Doping Agency (WADA) Ke Testing Protocol Ko Violates Karta Hai. WADA Ke Article 2.4 Ke Tahat Ek Rule Ye Bhi Hai Jo Athlete 1 Year Me 3 Baar Tests Ko Miss Krta Hai. Wo Anti-Doping Rule Ka Violation Hoga.
WADA And Lithuanian Anti-Doping Rules Ke According Athletes Ko Apni Accurate Information And Location Ki Sahi Jankari Deni Hogi. Is Tarah Ki Information Anti-Doping Administration And Management System (ADAMS) Ke Pass Jana Jruri Hai.
Federation Ki Website, Ke Anusar 2012 Ki Olympic Gold Medalist Ne April 22, 2018, August 29, 2018 And March 28, 2019 Ko Tests Miss Kiya Hai.
Abhi Tak Actual Punishment Announced Nahi Hui Hai Lekin 2 Year Ka Ban Ya Sirf 1 Year Ka Ban Bhi Swimmer Ko 2020 Tokyo Olympics Games Me Jane Se Rok Sakta Hai.
Lithuania Ke Anti-Doping Agency Ke Director Ne Btaya Ki, “Bahut Baar Swimmer Ki Data Fill Karte Wakt Irresponsibly, Ya Unhe Lagna Ki Isse Kuch Nahi Hoga. Matlab Negligence And Irresponsibility Athlete Ke Career Ko Pura Change Kar Ke Rakh Skti Hai, Aage Se Log Iske Bare Me Or Ache Se Janna Chahenge Ki Kyu Ek Athlete Ko Disqualify Kiya Gaya, Har Athlete Ka Case Alag Alag Hota Hai. Or Iska Sabse Serious Result Athlete Ko 2 Saal Ka Disqualification De Skta Hai”
Originally posted by Loretta Race in English
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule.
Facebook► SwimSwam Hindi