You are working on Staging1

Indian Para Swimmers Ne Cross Kari Catalina Canal “#1 In Asia”

Braden Keith
by Braden Keith 0

August 21st, 2019 Hindi

TOI Ke News Report – Six Indian Para Swimmers Ki Ek Team Catalina Channel Ko Tairne Mei Safal Rahi Hai, Jise Worls Ke Sabse Dangerous Stretches Mei Se Ek Mana Jaata Hai. Aisa Karke Unhone Ek Record Bhi Set Kiya Hai.

Cold Winds,Icy Wayers,Sharks Aur Jellyfish Apne Lakwa Ke Dank Ke Liye Kukhyaat- Catalina Channel, California Mei Santa Cataline Island Aur Los Angeles Ke Beech, USA Ko World Ke 7 Most Dangerous Open Water Swims Mei Se Ek Maana Jaata Hai, Acche Reason Ke Liye. 35km Ke Distance Aur Mazboot Dhaarao Ne Kai Anubhavi Swimmers Ko Bhi Haraya Hai.

India Ke 6 Para Swimmers Ki Ek Team Ne Tuesday Ko Early Morning Mei Catalina Channel Ko Successfully Swim Kar Liya. Unka Target Time 12 Hours Ka Tha But Unhone Ise 11 Hours 34 Minutes  Mei H I Complete Kar Liya, Jisne Asia Mei Ek Record Set Kar Diya.

Wo 6 Para Swimmers – Satendra Singh, Jagdish Teli, Chetan Raut, Rimo Saha, Anjani Patel Aur Gitanjali Hai.

Thake Huye Par Khush Satendra Singh Ne Swim Complete Karne Ke Baad Thodi Der Newzhook Se Baat Ki.

“Hum Bahot Khush Hai Ki Humlogo Ne Ise Apne Set Kiye Huye Time Se Pahle Hi Complete Kar Liya. Yah Ek Hard Swim Thi Kyu Ki Water Icy Tha. Sharks Se Bachne Ke Liye Hum Night Mei Tairte The. Humne Kai Dolphins Dekhi Jo Hamare Saath Tairti Thi. Jellyfish Dunk Na Maar De Iski Chinta Bhi Thi Lekin Hum Swim Pura Karne Ke Liye Determined The Aur Jiske Karan Hum Successful Bhi Rahe, Kuch Chintajanak Moments Bhi The.” Jagdish Aur Anjani Mukhya Roop Se Cold Water Ki Wajah Se End Ki Or Struggle Kar Rahe The. Coach Rohan More,

Jinhone Pichle Saal Unke Saath Training Start Kit Hi, Wo Kahte Hai Ki “Inlogo Ne Haar Nahi Maani”.

Catalina Channel Swim Karna Ocean Seven Swimming Challenge Ka Part Hai,Jo 7 Channel Swims Ka Ek Marathon Hai. Ise Seven Summits Mountaineering Challenge Ke Equal Consider Kiya Jaata Hai.

The Ocean Seven Challenge World Ke Sabse Difficult Seas Mei  Swimming Ko Pura Karne Ke Liye Ek Swimmer Ko Challenge Deta Hai. Ye England Aur France Ke Beech English Channel, Catalina Channel (Catalina Island Se Lekar California Mainland), Strait Of Gibraltar (Spain To Morocco), North Channel (Ireland To Scotland), Kaiwi Channel (Between Molokai And Oahu), Cook Strait (North And Soth Island Of New Zealand) Aur Japan Mei Tsugaru Strait (Honshu And Hokkaidu).

Six Para Swimmers Ne Last Year English Channel Mei Successfully Swimming Kit Hi Aur Iske Saath Hi Unke Paas Pura Karne Ke Liye 5 Aur Hai. Ve Ghar Vaapas Aayenge, Rest Karenge, Aur Phir Agli Swimming Ki Yojana Banayenge.

Unki Safalta P Narhari, Commissioner-Cum-Secretary,Urban Administration, Government Of Madhya Pradesh,Ke Liye Bahut Hi Garv Ki Baat Hai. Jise Satendra Ek Mentor Ki Tarah Dekhte Hai.

“Mai Satendra Ko Almost Varsho Se Jaanta Hun. Mai Gwalior Ka Collector Tha Jab Vah Mere Paas Aaya Aur Usne Kaha Ki Vah Apne Jeevan Ke Saath Kuch Bada Karna Chhahta Hai”  Shri Narhari Yaad Karte Hai. Jab Satendra Apne Swimming Mission Mei Support Ke Liye Pahuche, Toh Srihari Ne Unhe Vaapas Karne Mei Sankoch Nahi Kiya. Isse Swimmers Ko TATA Trusts, Madhya Pradesh Government Aur Anya Organisations Se Samarthan Prapt Hua.”

Full Credit, Shri Narhari, Clear Hai, Satendra Ko Jaata Hai. “Mai Apni Aantrik Shakti, Dhairya Aur Determination Ko Credit Deta Hun. Isne Marg Prasasht Kiya Hai Aur Usne Har Baar Khud Ko Prove Kiya Hai Ki Use Ek Chance Diya Gaya Tha”. Unki Safalta, Sabhi Ke Liye Ek Prerna Hai. Unhone Kaha,” Satendra Ne Jo Kiya Hai, Vah Samanya Pristbhoomi Ke Logo Aur Viklaang Logo Ke Liye Ek Bahut Accha Aur Prernadayak Hai. Yah Dikhane Ke Liye Samarthan Aur Sahi Drishtikon Ke Saath, Har Koi Bahut Kuch Haasil Kar Sakta Hai”.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »