You are working on Staging1

Ab National Swimming Competition Me Compete Karke Medal Jeetna Asaan Nahi

Braden Keith
by Braden Keith 0

August 22nd, 2019 Hindi

The New Indian Express Ki News Jisme Srihari Nataraj Ki behtareen performance ko dekhte hue ek article nikle jisme btaya gya ki ab national ka bar increase ho chuka hai. Hungry mei bahot pahle se hi ek proud swimming culture hai. 1896 mei pahle Summer Games me medal jeetne wale Alfred Hajos ke dino se, 2016 mei Rio de Janerio ke pool mei 3 Gold medal jeetne wale Katinka Hosszu ke liye, Unhone paani ke kai artists produce kiye hai.

Tuesday night ko, ek Indian ne chupchap Hungry ke un gents aur ladies ke kartabo ko repeat karne ki koshis ki, jo 100 varso se Budapest mei tair rahe hai. Bhale hi vah last mei apne intended target se kam ho gaye, lekin Srihari Nataraj ne ek baar phir wahi kiya jo unhone pichle 14 months se karne ki aadat bana li hai. Apne standard ko ucha kar ke National record ko lagatar kam karte jaana.

Budapest mei chal rahi World Junior Swimming Championship mei, Nataraj ne do baar Final mei pahochne ke liye 100m Backstroke event mei new National Record banaye. Budapest mei aakar, unka mark 55.49 second tha. Heat mei, unhone Olympic Selection Time (OST) ke tahat jaane ke liye 55.18 second ka time liya. Commonly ise ‘B’ Time se refer kiya jaata hai, yah Olympic mei jagah ki koi guarantee nahi deta hai, lekin Nataraj ne apni reputation ko koi nuksaan nahi pahuchaya. ‘B’ Time ka arth hai FINA, sport ke liye World Governing Body, qualification period ke end ke baad, event mei world ranking ke anusaar extra places allot karega.

Kuch hours baad, Nataraj ne kuch adhik valuable micro second save kiye- 54.69 satik hone ke liye- kyu ki voh 6th sabse fastest time ke saath final mei pahuche. Voh abhi bhi Olympic Qualifying Time (OQT) ya ‘A’ time 53.85 Seconds se bahar the.

Final mei medal ki seema se bahar hone ke bawjood, unki speed- unhone lagataar 2nd time 55 second ke andar dubki lagai- jo unhe unki Olympic aspirations ke saath saath yah realise karayega ki yeh month unke liye kitna important hone wala hai jisse voh future mei isse bhi accha perform karenge. Voh Italy ke Thomas Ceccon se 1.39 second piche 54.85 second ke saath 7th position par rahe, jinhone Gold medal jeeta.

Srihari Nataraj ke paas week ke end se pahle Budapest mei ek aur impression banane ka chance hai kyun ki unke paas abhi bhi do event aur baaki hai. Abhi unhe paas 50m aur 100m backstroke event  mei performance dena baaki hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »