COVID-19 Pandemic Ki Wajah Se Almost Saari Countries Ne Lockdown Lagaya Hua Hai. Isi Lockdown Mei Ace Indian Swimmer Sajan Prakash Bhi Fase Huye Hai. Par Wo India Mei Nahi Balki Thailand Ke Phuket Ke Training Centre Mei Fase Huye Hai Is Samay. Par Is Ki Wajah Se Unhe Kaafi Time Mil Jaa Raha Hai Apni Injury Se Ubharne Ke Liye.
Olympics Ke Liye ‘A’ Qualification Mark Achieve Karne Ke Hope Se Swimmer Sajan Prakash February Mein Swimming Meets Ki Training Ke Liye Phuket Gaye The. Par Phir Wo Wahi Rah Gaye Kyu Ki Country Mei Lockdown Lag Gaya Hai.
“Mai Phuket Mei Hu Aur Mai Yaha Safe Bhi Hu,” Sajan Ne PTI Ko Bataya.
Sajan, Jinhe International Swimming Federation(FINA) Ki Taraf Se Scholarship Mili Hui Hai Wo Is Samay 18 Other Nationalities Ke Swimmers Ke Saath Thanyapura Academy Mei Stay Kar Rahe Hai.
“Mai Yah Par 12 February Ko Training Karne Ke Liye Aaya.Mai Yaha Par Comfortable Bhi Hu.FINA Ki Taraf Se Di Jaa Rahi Scholarship Ki Wajah Se Meri Saari Jarurte Bhi Puri Ho Jaa Rahi Hai.Mujhe Kisi Chiz Ke Bare Mei Bother Karne Ki Jarurat Nahi Hai.”
Ye Apni Country Ke Akele Male Swimmer Hai Jinhone 4 Years Ago Rio Olympics Mei Participate Kiya Tha, Sajan Ne South Korea Mei Hui World Championships Mei Last Year 200m Butterfly Event Mei Behatreen Performance Dete Huye Tokyo Games Ke Liye ‘B’ Qualifiacation Mark Already Achieve Kar Liya Tha.
Par Game Mei Pakki Jagah Paane Ke Liye Unhe ‘A’ Qualification Mark Achieve Karna Padega Aur Wo Bhi 1:56.48s Timing Ke Saath.
26 Year Old Swimmer Abhi Abhi Neck Injury Se Ubhar Rahe Hai Aur Isliye Wo Rehab Exercise Karne Mei Concentrate Kar Rahe Hai Aur Uske Saah Kuch Aur Dry-Land Workouts Bhi.
“Mai Rehab Aur Breathing Exercise Par Focus Kar Raha Hu Is Samay. Recover Hone Ke Liye Mujhe Jo Time Mila Hai Isliye Mai Khud Ko Bahot Lucky Samajhta Hun.
Almost 1 Month Ho Gaya Hai Aur Swimmer Sajan Ne Swimming Pool Mei Practice Nahi Ki Hai.However, Boarding House Mei Rahne Wale Swimmers Ne Ek Innovative Idea Dhunda Hai Jisse Wo Water Ke Saath Apna Contact Na Lose Kar De.
“Coach Ne Hume Kaha Hai Ki Apna Shoulders Hamesha Move Karte Raho Isliye Humne Ek Inflatable Pool Laya Hai Aur Usme Water Fill Kar Diya Hai . Uske Baad Humne Rope Ek End Ko Bar Se Tie Kar Diya Aur Dusre End Ko Apnea As Paas Aur Phir Apna Haath Water Ke Andar Move Karte Rahte Hai.”
“Ye Isliye Taaki Hamara Contact Water Ke Saath Bana Rahe.Ye Shoulders Ke Lye Bhi Accha Hota Hai Kyu Ki Iski Wajah Se Dobara Pool Mei Utarte Waqt Injury Ka Chance Bahot Kam Ho Jaata Hai.”
Ye Puche Jane Par Ki Kya Aap Travel Restrictions Hatne Ke Baad India Chale Jayenge, Sajan Ne Kaha Ki Abhi Home Jaane Ka Unka Koi Plan Nahi Hai.
“Mujhe Lgta Hai Ki Travel Restrictions Khatam Hone Ke Baad Bhi Mai Yahi Rahunga Kyu Ki Abhi Kahi Bhi Travel Karna Safe Nahi Hoga.” Unhone Kaha.