You are working on Staging1

5 Aise Song Jo Practice Ya Kisi Big Race Ke Phle Motivate Karne Ka Kam Karte

Jyadatar Swimmers Ki Life Mei Music Instrumental Part Ki Tarah Hota Hai. Kabhi-Kabhi Aapka Favorite Song Hi Hota Hai Jo Aapko Kisi Badi Race Ke Pahle Pump Up Karta Hai. Aur Kabhi-Kabhi Toh Kisi Song Ki Catchy Rhythm Aapke Head Mei Stuck Ho Jaati Hai Throughout The Entire Workout, Aur Jo Music Play Hota Hai Pool Deck Speakers Mei Wo Aapki Help Karta Hai Long Kick Sets Ki Boredom Se Bachne Ke Liye. Reason Chahe Job Hi Music Athletes Ke Liye Bahot Helpful Hota Hai. Sirf Athletes Hi Nahi, Har Kisi Ke Liye Music Bahot Helpful Hota Hai. I Am Sure Ki Music Aapko Bhi Bahot Pasand Hoga. Comment Kar Ke Apna Favorite Song Jarur Bataiyega.

Kuch Songs Toh Aise Hote Hai Jo Incidentally, Swimmer Ka Exact Sentiments Capture Kar Leta Hai. Kuch Aise Songs Bhi Hote Hai Jinhe Aap Apni Entire Practice Mei Sing Karte Rahte Hai. Aaj Aapse Aise Hi 5 Hollywood Songs Share Karunga Jisse Aap Apni Swim Practice Ko Describe Kar Sakte Hai.

Aap Niche Comment Karke Btaye Ki Apko Bollywood Song Me Kon Se Song Workout Krte Wakt Pasand Aate Hai Jo Apko Motivate Karte Hai?

“Work”- Rihanna Feat. Drake

Hum Sab Ka Reason Alag-Alag Ho Sakta Hai Sport Ko Love Karne Ka, Different Goals Hote Hai Jo Hum Sabko Motivate Karte Hai Training Ke Liye, Par Ultimate Aim Hota Hai Ki Hum Sab Kaam Kare. Mujhe Pata Hai Ki Early Morning Uthna Hard Hota Hai, Khud Ko Pure Din Training Ke Liye Push Karna Bhi Hard Hota Hai Par Phir Bhi Aapko Effort Toh Lagana Hi Hoga Aur Apne Ambition Ke Towards Aage Badhna Hoga.

“Slow Down”- Selena Gomez

Agar Aap Deck Par Aa Gaye Toh Kai Baar Story Different Bhi Hoti Hai. Aap Prepare Toh Hote Hai Hard Work Karne Ke Liye But Kabhi Kabhi Story Completely Different Bhi Ho Jaati Hai. Kyuki Har Baar Positive Attitude Nahi Maintain Kiya Jaa Sakta Hai Especially Tab Jab Aap Chalk Board Par Extremely Tough Routine Dekhte Hai Tab. Aise Time Par Ye Song Aapki Kaafi Help Karega.

“No Air”- Jordan Sparks

Jab Practice Start Ho Jaati Hai Aur Quick Pace Time Add Up Hona Start Ho Jaata Hai Tab Har Ek Short Interval Heavy Breathing Ke Liye Use Hota Hai. Swimming Jaisa Sports Jo Ki Largely Cardiovascular Exercise Hai, Oxygen Andar Aana Bahot Hi Hard Hota Hai Especially Swimmers Ke Case Mei Kyu Ki Unhe Kaafi Time Water Mei Hi Spend Karna Padta Hai. In Fact, Swimming Hi Ek Aisa Sport Hai Jisme Aapko Coach Se Daat Padti Hai Agar Aap Jyada Breathing Karte Hai Toh Kyu Ki Isse Race Mei Aapki Speed Par Asar Padta Hai.

“The Climb”- Miley Cyrus

Hard Sets Swimmers Ke Liye Most Rewarding Ho Sakte Hai Isme Koi Doubt Nahi Hai. But Unhe Physically Aur Mentally Overcome Kar Paana Bahot Tough Hota Hai. Miley Ki Hi Quote Hai, “ I Got To Be Strong, Just Keep Pushing On”, Jo Ki Athletes Ke Liye Daily Challenge Hota Hai. Workouts Kisi Long Climb Ya Upward Battle Ki Tarah Hote Hai Jise Pura Karne Mei Pain Toh Bahot Hota Hai But Ek Baar Agar Aap Top Par Pahoch Gaye Toh Ye Completely Worth It Hota Hai. Swimmers Ke Case Mei , Ek Baar Jab Aap Wall Ko Touch Kar Lete Hai Aur Breathe Karne Ki Ability Ko Regain Kar Lete Hai Toh Wo Feeling World Ki Best Feeling Mei Se Ek Hoti Hai. Is Baat Se Toh Shayad Aap Sab Log Agree Karenge.

”This Girl Is On Fire”- Alicia Keys

Jab Aap Ek Acchi Practice Ke Baad Water Se Bahar Aate Hai Toh Waise Hi Aapka Pain End Nhi Ho Jaata Hai. Lactic Acid Buildup, Dryland Practice , Aur Doubles Aisi Chize Hai Jo Athletes Ko Aur Sore Bana Deti Hai, So Good Effort Or Practice Ka Effect Several Days Tak Bana Rah Sakta Hai. Ye Hamare Friends Ke Liye Comical Ho Sakta Hai. But Jo Fire Hum Feel Karte Hai Apne Sore Muscles Mein Wo Un Efforts Ka Concrete Proof Hoti Hai Jo Hum Put In Karte Hai Us Greatness Ko Achieve Karne Ke Liye Jo Humara Wait Kar Rahi Hai.

Ye Part-1 Hai Aur Agar Aap Sabhi Ka Response Accha Aaya Is Part Par Toh Mai Iska Next Part Jarur Banaunga. Ab Aap Comment Karke Bataiye Ki Next Part Mei Aap Kaun Si Industry Se Top-5 Songs Jaanna Pasand Karenge.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »