North America se lekar ke europe aur rest of asia ke swimmers pool mei wapas aa chuke hai. Par abhi bhi indian swimmers pool mei aane ke liye green signal ka wait kar rahe hai. Sabhi swimmers ka ab yahi puchna hai ki india mei “kab se reopen honge swimming pools?” Yah Article Prakhar Dubey Dwara Bheja Gya Hai.
Aisa kahna hai hi water mei jo chlorine hota hai uski wajah se pools mei corona virus ke transmission ka risk kam rahega. Aur, swimmers ko pool par pahuchne se pahle hi swimminh costumes pahanne ke liye kaha gaya hai.
Unse ye bhi kaha gaya hai ki unhe swimming ke pahle aur baad mei ghar par hi shower karna hoga. Swimming pool ki facilities ko use karna avoid karna hoga.
“aisa pahli baar hua hai ki hamare paas 8 aise swimmers hai jinhone olympics ke liye B-qualification achieve kiya hai. But, jaha sabhi countries phir se pool mei wapas aa chuki hai wahi hum abhi bhi nahi aa paa rahe hai. Aur ye sahi nahi hai practice ke liye.” Long distance swimmer, meenakshi pahuja ne kaha, jinhone around the world kai saare lakes aur channels cover kiye hai.
Meenakshi ne point out karte huye kaha ki, elite swimmers, jo ki aane wale tokyo olympics mei a-qualification mark achieve karna chahte hai, unhe pool mei p[ractice karne ke liye jyada time ki requirement hai taaki wo phir se apne rhythm par wapas aa sake aur apne potential tak pahoch sake.
“agar ek olympic size 50-metre pool mei normal allowance hai 80 swimmers ki, to bhi humare paas one third ki capacity hai distancing norms ko ensure karane ke liye,” meenakshi ne kaha.
Trainer