Abhi tak, 62 Indian ne English Channel swim kiya hai. English Channel Southern England ko Northern France se separate karta hai. 1994 ki baat hai, jab young Kunal Ramesh, jo ki popularly Kutraleeswaran ke naam se jaane jaate hai, unhone ye feat achieve kiya tha, Tamil Nadu mei woe k household name bann gaye the. Unhone English Channel tab hi swim kar liya tha jab wo sirf 13-years old ke hi the. Usi same year mei, unhone Australia ka Rottnest Channel, Straits of Messina in Italy, Zannone Circeo in Italy, aur Ten Degree Channel ko cross karte hi unhone ek hi calendar year mei Mihir Sen 5 channels complete karne ke record ko bhi surpass kiya tha. Unhone 1996 mei Arjuna Award aur Guinness world record received kiya.
Wo Indian sports ke hero the, jinka naam totally bhula diya gaya hai. Kutral, ko Olympics mei Italy ko represent karne ka offer bhi mila tha but unhone gracefully is offer ko mana kar diya tha. 1994 mei English Channel swim karne se pahle unhone Palk Strait bhi swim kiya tha.
Ek 13-year-old ke liye ye phenomenal achievement thi aur entire country ne unki is feat ko rejoiced kiya. Across the world se total 25 swimmers select huye the swimming ki World Series ke liye. Un sab mei se, Kutraleeswaran hi Asian the. Unhone India ko six globally competition mei represent kiya aur Switzerland mei huye event ko jeeta bhi.
Ye chiz Indian government ne bhi recognized kiya aur is wajah se 1996 mei unhe Arjuna Award bhi mila, aur us time award paane wale wo sabse youngest person bane.
Itna sab kuch accha karne ke baad bhi Kutraleeswaran ko sponsor hi nhi mil paa rhe the unke career ko support karne ke liye. Initially unke father ne hi unki training aur travelling ke liye fund kiya tha. Unki family ne State government ko bhi approach kiya but unhe waha se desired support nhi mila.
Ek occasion mei, jab wo Germany mei ek competition mei participate karne wale the, tabhi unhe unke sponsors ka call aaya aur unhone kaha ki wo pull out kar rahe hai. India ke liye Olympic medal jeetne ka dream unka unattained hi rah gaya aur unhone realize kiya ki is sport ko pursue karna unke liye viable nhi ho payega.
Iske baad unhone Chennai se apni Engineering pursue ki aur ek successful engineer bane. Kutral United States move kar gaye aur unhone apni Master degree ke liye Dallas ki University of Texas ko joined kiya, aur phir unhone subsequently Intel ko bhi join kar liya.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.