Indian Swimmer Srihari Nataraj Ne Uzbekistan Open Swimming Championship 2021 Mei Men’s 100m Backstroke Event Mei Gold Medal Jeeta Aur Same Day Par Apne Khud Ke National Record Ko 2 Baar Rewrite Kiya.
20-Year-Old Nataraj Ne Men 100m Backstroke Ke Heat Me Apna Personal Best Register Kiya Jo Ki 54.10 Sceonds Ka Hai, Aur Ye Ek New 100m Men’s Backstroke Swimming National Record Hai. Finals Mei Unka Time 54.07 Ka Raha Aur Is Baar Unhone National Record Ko Aur Improve Kiya Aur Turkmenistan Ke Merdan Atayev Ko Piche Chhodte Huye Gold Medal Apne Naam Kiya.
Inki Dono Timing Ne Inhe 53.85 Sceond Cut Off Mark Ke Closer Le Aaya Hai.
Tokyo Olympics Mei Direct Qualify Karne Ke Liye Srihari Ko Abhi Bhi A Standard Timing Achieve Karna Hai.
- Sajan Prakash, Uzbekistan Mei Unhone Apna 3rd Straight Gold Medal Jeeta Men’s 400m Frestyle Event Mei 3:56.03 Ki Timing Ke Saath.
- Women’s 400m Freestyle Event Ne Ek Aur Indian Ko Gold Medal Jeete Huye Dekha Jo Ki Shivani Kataria Thi Jinhone Apni Race 4:38.05 Seconds Mei Finished Kit Hi.
- Chahat Arora Ne Women’s 100m Breaststroke Event Mei, 1:16.05 Sceconds Ki Timing Ke Saath Finish Karte Huye Gold Medal Jeeta.
- Maana Patel, Ne Bhi Women’s 100m Backstroke Mei 1:04.47 Ki Timing Ke Saath First Place Secure Kiya. Fellow Indian Swimmer Suvana Baskar Ne Silver Medal Jeeta.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.