You are working on Staging1

Dono Hath Kho Dene Ke Baad Bhi 150 Medals Jeete – Indian Swimming News

Ye Kahani Hai Ek Aise Aadmi Ki Jinhone 2 Accident Mei Apne Dono Haath Kho Diye Par Uske Baad Bhi Unhone Challenges Ke Saamne Give Up Nhi Kiya Balki Hardwork Karte Rahe Aur Swimming Mei National Platform Par Ek Winner Ki Tarah Nikhar Kar Aaye Aur Ab Unhone Apni Nigahe 2022, Hangzhou Mei Hone Wale Asian Championship Par Tika Rakhi Hai.

Apni Life Ko Odd Situation Mei Mei Bhi Balance Karna Sikha Hai Inhone, Unhone ‘Troubled Waters’ Mei Bhi Aoni Body Ko Balance Karna Learn Kar Diya Tha Haath Gawane Ke Baad Aur Aaj Different National Aur International Tournaments Mei Unhone 150 Se Bhi Jyada Medals Jeete Hai.

In Fact, Apne Academy Mei Ye Training De Rahe Hai Young Students Ko Jinhone 100 Se Jyada Medals Jeete Hai Alag Alag Tournament Mei.

Wo Ab Aim Kar Rahe Hai 2022, Hangzhou Mei Hone Wali Asian Championship Mei Gold Medal Jeetne Ka.

In Sportstar Ka Naam Hai Pintu Gehlot, Rajasthan, Jodhpur Ke Chokha Village Ke Rahne Wale Hai. Inhone Apna Ek Haath 1998 Mei Huye Accident Mei Kho Diya Tha Jab Ye Class 6th Mei Padhte The. Ek Bus Accident Mei Inka Right Hand Shoulder Se Hi Kat Gaya Tha. Iske Bawjood Bhi Inhone Apne Left Hand Par Bharosa Kar Ke Apni Success Story Likhna Start Kiya.

Ekdum Firm Determination Ke Saath Inhone Swimmig Pool Mei Enter Kiya Aur Khud Ko Bahot Acche Se Train Kar K Eek Ace Swimmer Banne Ka Decision Liya.

Seven Years Ke Hard Work Ke Baad, Jodhpur Mei Hui State Para Championship Unhone Jeeti.

Unhone 100m Backstroke Mei Gold Medal Aur 50m Freestyle Tournament Mei Silver Medal Jeet Kar Kabhi Piche Mudd Kar Nhi Dekha.

Pintu Ko Ek Aur Gahra Jhatka Laga Jab 2019 Mei Swimming Pool Clean Karte Time Unhone Apna Dusra Haath Bhi Kho Diya.

Unke Father Omprakash Gehlot Ne 2019 Ke Ek Accident Mei Apna Haath Kho Diya Tha.

But Pintu Ko Dekh Kar Aisa Lagta Hai Ki Wo Iron Ke Bane Hai, Wo Is Situation Se Discouraged Nhi Huye Balki Iske Baad Bhi Unhone Apne Passion Swimming Ko Continue Rakha.

Abhi Wo Rajasthan Para Swimming Team Ke Coach Hai Aur Kai Saare Young Talents Ko Training Kar Rahe Hai.

Unhone Swimming Centre Start Kiya Hai Jaha Par Wo Physically Challenged People Ko Free Of Cost Training Dete Hai.

Unke Kai Saare Students Bahot Accha Perform Kar Rahe Hai Aur State Ke Liye Kai Saare Laurels Laaye Hai, Aur Different Tourname Nts Mei 100 Se Bhi Jyada Medal Laaye Hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »