Sportskeeda dwara nikali gayi news jisme btaya gaya ki Indian swimmers ke Tokyo A cut qualifying ke baad aab aage kya plan hai. 2021 me Indian Swimming ki ek nayi shuruwat hui Srihari Nataraj and Sajan Prakash ne Indian Swimming Ki History me first time A cut qualifying time hasil kiya. Srihari Nataraj jo ki mahaj 20 year ke hai unhone international swimming competition me india ke liye kayi baar medals jeete hai and national records ko bhi break kiya hai.
2020 Tokyo Olympics me Srihari ne 100m Backstroke event ke liye qualify kiya tha jisme unhone apna personal best time 53.77s ka kiya lekin Olympics ki heat me srihari apna personal best time todne me nakam hue and 54.21s ka time kiya and semifinals me apni jagah nahi bana sake.
Srihari Ne Sportskeed ko apne experience ke bare btate hua kaha ki – “Yah ek behtareen experience tha bilkul waisa jaise maine youth Olympics me and Asian games me feel kiya tha, yah ekdam se new nahi tha, mujhe abhi bhi kuch changes krne ki jrurat hai taki mai same galti aage nahi karu.”
“aane wale saal me hme world championships, commonwealth games and Asian games me mauka milega. Mai abhi ke liye sirf apne goals and target par focus kar rha hu and target kar rha hu ki ham kuch medals jeete me safal ho paye”
2014 ke Asian Game medalist Sandeep Sejwal ne bhi btaya ki unko puri ummed hai ki aane wale year me Indian Swimming ek acche level par dikhegi.