You are working on Staging1

Swimmers Ka Apne Parents Ko 7 “Thank You” – Indian Swimming News

Braden Keith
by Braden Keith 0

August 25th, 2021 Hindi

Competitive swimmer ki journey mei parents ke role ko constantly overlooked kiya jaata hai, kyu ki is sport ke liye apne emotional aur physical involvement mei unki taraf se koi kami nhi rhti hai. Aisa lagta hai ki humse jyada to hamare parents hi is sport mei jyada expend karte hai- hume har din practice ke liye le kar jaane se un 12 hours ki meets tak jaha wo baithe rahte hai face par ek smile ke saath aur jo words deliver hone wale hote hai unhe encourage karne ke liye ready rahte hai.

Jitne bhi swimmers hai wo aaj apni life mei jis bhi position par hai usme unke parents ne bahot important role play kiya hai. Unke bina aaj hum jaha hai waha kbhi nhi pahoch paate.

  1. Mehnat se kamaye huye paiso ko mujh mei aur mere sport mei invest karne ke liye Thank-You:

Swimming sasta sport nhi hai. Team expenses ke alawa, hamare paas suit expenses, nutrition expenses, meet expenses, travel expenses, aur bhi naa jaane kitne expenses rahte hai. Hamare parents hamare passion mei invest karte hai. Kai logo ko lagta hoga ki hamare parents crazy to nhi hai jo hamare upar itna paisa kharcha kar rahe hai, par hamare parents ko pata hai ki ye aisi chiz hai jise hum log pasand karte hai karna aur unke liye ye duniya ke saare paiso se bhi keemti hai.

  1. Aapka emotional support spent kiye gaye money se bahot jyada hai:

“Bad meet” ya phir disappointing time ke baad aap hamesha apne parents par hi rely karte hai aapko phr se utne hi josh ke saath khada karne ke liye. Hamare jaise hi, parents bhi kabhi doubt nhi krte hai. Unke liye hum superheroes ki tarah hai aur isliye unka support bhi unwaveringly aata hai.

  1. Mere coach ki tarah pretend karne ke liye Thank-you!

As swimmers hum log ko ye pasand nhi aata hai jab parents coach ki tarah pretend karte hai, but overall hamare bodies aur hamare potentials ko un logo se jyada koi nhi jaanta hai jinhone hume raise kiya hai.

  1. At the same time, Coach ka role play nhi karne ke liye Thak-You!

Thank you, Mom and Dad, mujhe naa daatne ke liye, naa criticize karne ke liye, aur mera coach nhi banne ke liye. Balki, jab mai apne coaches ki complain aapse karta hu to use sunne aur mujhe emotional support dene ke liye thank you!

  1. Stands mei loudest cheerleader banne ke liye Thank you!

Swim parents har week soccer moms ko top karti hai. Hum log ke liye kiye gaye whistle, chants, aur cheers ko koi bhi awaz kam nhi kar sakti. Yaha tak ki jab hum water mei hote hai aur kuch sunn bhi nhi sakte hai to bhi  utne hi tez se hamare liye cheer karne ke liye Thank you!

  1. Mujhe give up nhi krne dene ke liye Thank you!

Hamare parents ne hum par believe kiya hai, jab hum bhi khud par believe nhi krte hai tab bhi-life ke har ek aspect mei. Hamare parents ne har chiz mei hume support kiya hai. Naa jaane kitne baar humne give up karne ka socha hoga par hamare parents ne hamesha hume aisa karne se roka hai aur jitni bhi greatness humne achieve ki hoti hai use aise waqt par yaad dilane ke liye dil se Thank you!

07: Pyaar karne ke liye Thank You!

Aapne hume jo bhi diya hai uske liye koi hugs, words aur thank yous aapke liye hamare gratitude ko express nhi kr skte hai. Thank you- aapke unconditional love aur devotion ke liye.

 

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »