NLCIL Ne Sajan Prakash Ke Felicitates Karne Ke Sath Neyveli Me World-Class Swimming Facilities Dene Ka Liya Decision.
Sports Ko Badhawa Dene Ke Liye And Sportsperson Ko Encourage Karte Hue Shri Rakesh Kumar Ne Sajan Prakash Ke Felicitation Function Me Rs. 5 Lacs Ka Check Diya.
Is Function Ki Shuruwat Neyveli Me 2km Ki Cheering Rally Ke Sath Hui Jisme Sajan Prakash Apni Mom And Coach Ke Sath Ek Open Jeep Me Travel Kiye Jisme CISF Marathon Runners, Former Sportspersons And School Children Ne Is Rally Ko Join Kiya.
Sajan Prakash Ke Name Par Ek 50m Swimming Pool Ka Name “Olympian Sajan Prakash Pool” Rakha Gaya Jo Hmesa Swimmers Ko Inspire Karta Rahega.
Shri Rakesh Kumar Ne Yah Bhi Btaya Ki NLCIL Neyveli And Iske Aas-Pass Ke Villages Se Jyada Se Jyada Youths Ko Encourage Kiya Jayega Ki Wo Bhi Sports Ka Hissa Bane And Country Ko World Level Tak Represent Kare.
Shri Rakesh Kumar Ne Btaya Ki “Sajan Prakash Ki Journey Bahut Hi Incredible Rahi Hai, Yah Ek Role Model Hai Youth Ke Liye And Neyveli And Iske Aas-Pass Ke Villages Ke Youth Isse Kafi Inspire Honge.”
Sajan Prakash First Indian Swimmer Hai Jinhone Olympic “A” Qualification Time Ko Breach Kiya Hai. Sajan Ne Men’s 200m Butterfly Event Mei 1:56.38 Ki Timing Ke Saath Games Mei ‘A’ Quota Ke Saath Qualify Kiya Tha. Sajan, Srihari Nataraj Aur Maana Patel Ye 3 Indian Swimmers Ne Tokyo Me India Ko Swimming Me Represent Kiya Tha.
Halaki Sajan Tokyo Olympics Me Apna Best Nahi Perform Kar Paye And 200m Fly Me Overall 24th Place Par Rhe And 100m Fly Me 46th Place Par Rhe. (Tokyo Olympics Me Indian Swimmers Ki Performance Dekhne Ke Liye Click Kare)
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.