Maharashtra government ne Friday ko hi fully vaccinated swimmers ko competitive events ke liye pools mei practice karne ki permission de di hai. Swimming association of Maharashtra ne Gujarat mei iske trials karne ki socha hai. Halaki, association ne kaha hai ki ye move sirf 10% swimmers ko hi benefit karega kyun ki aise athletes bhi hai jo ki 18 years se kam hai aur wo vaccination ke liye ineligible hai. Isliye ye apne plan, jo ki Ahmedamad mei practice karne wala hai us par stick rahega.
Pune mei hui press briefing mei, Deputy Chief Minister Ajit Pawar ne kaha ki wo swimmers jinhone vaccination aur 14-day cooling period complete kar liya hai wahi allowed honge pools me. Coaches ne kaha hai ki ye thoda aur jaldi aana chhaiye tha.
Reports ki series mei, mid-day ne report kiya professional swimmers ki plight explain ki thi jo ki National Aquatic Championship,2021 mei participate karna chahte hai, jo ki Bengaluru mei hoga October 2021 mei. Jab unki pleas State Government tak pahochi, toh Swimming Association of Maharashtra ne kaha ki ye nationals ke liye Gujarat ke private pools mei September 23 ko trials rakhega.
SAM president Deepak Mejari ne mid-day se kaha ki, “Hum deputy CM ke dwara kiye gaye announcement ka welcome karte hai but ye majority swimmers ko benefit nhi karega. Agar government sabhi ke liye pools open kar deti hai toh hum alag trial location ke baare mei sochenge par abhi ke liye hum Gujarat plans ko le kar hi aage badhenge.”
Age group
- Sub-junior- 9 to 11 years
- Junior- 12 to 17 years
- Senior- Open to all (qualifying time par depend karega)
Sept 27-29 Junior categories ke liye Ahemdabad mei trials hoga swimmers ka.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le