UT Sports Department Sector 23 Ke All-Weather Swimming Pool Ko Jaldi Hi Re-Open Karne Wala Hai General Public Ke Liye.
Ummeed Hai Ki Is Month Ke Baad Wo Pool Almost 2 Year Ke Gap Ke Baad Public Ke Liye Open Kiya Jaayega.
Iske Pahle, Pool Ko Professional Swimmers Ke Liye Open Kiya Gaya Tha. Halaki, Various Swimming Tournaments Over Hone Ke Baad, Pool Ko Kuch Time Ke Liye Closed Bhi Kar Diya Gaya Tha. Ab Ye Ek Baar Phir Se Professional Swimmers Ke Liye Bhi Re-Opened Hoga.
“Professional Swimmers Ke Saath General Public Ke Liye Bhi Pool Open Kiya Jayega, Jo Ki Is Venue Par Practice Karne Ke Liye 2 Year Se Wait Kar Rahe Hai. Ye (Sector 23) Hi Ek Single Pool Hai Chandigarh Mei, Jo Ki Sports Department Ke Under Aata Hai, Aur Jo Ki Winters Mei Bhi Function Karta Hai. Isliye Hum Ek Accha Rush Expect Kar Sakte Hai,” Source Ne Kaha.
Sabhi Seven Swimming Pools Jo Ki UT Sports Department Ke Under Hai Sab Summers Mei Huge Rush Dekhte Hai. Halaki, Is Saal, Covid Pandemic Ki Wajah Se General Public Ke Liye Sabhi Pools Band Rakhe Gaye The.
Recreational Groups Ke Liye Pools Open Karne Ki Huge Demand Uthi Thi.
“Kyun Ki UT Administration Ne Sab Kuch Open Kar Hi Diya Hai, Toh Unhe Pools Bhi Open Karna Chaiye General Public Ke Liye. Recreational Group Usually 18 Years Se Upar Age Wale Log Ko Hi Represent Karte Hai. Aur Isme Se Majority Toh Already Vaccinated Ho Chuke Hai. Hum Sabhi Covid Related Protocols Ko Follow Karne Ke Liye Ready Hai. Halaki, Department Ko Is Par Final Call Lena Chaiye,” Prabhnoor, Ek Local Swimmer Ne Kaha.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.