Ye Ek Electronic Engineer Hai Profession Se But Swimming Inka Passion Hai. Miliye Srikanth Viswanathan Se, Ek 49-Year-Old Insaan Jinhone 33-Year-Old Mei Swimming Sikha. Inhone Apne Dream Ko Nurtured Kiya, Us Mei Icy Waters Ko Paar Kiya Aur 2019 Mei Open Water Swimming Mei Triple Crown Bhi Complete Kiya.
Par Unke Challenges Ne Unhe Niraash Nhi Hone Diya Kyun Ki Ab Wo Ministry Of Youth And Sports Government Of India Ki Taraf Se Tenzing Norgay National Adventure Award 2020 Ke Liye Select Ho Chuke Hai. Ye Award Inhe President Ram Nath Kovind Ji Ke Dwara 13 November Ko Rashtrapati Bhavan, New Delhi Mei Diya Gaya.
“Ye Award Adventure On Land,Sea And Air Mei Achievement Ke Liye Highest National Recognition Hai. Ye Award Har Saal August Mei Diya Jaata Hai, Tokyo Olympics Aur Paralympics Ki Wajah Se Ministry Ne Postpone Karne Ka Decide Kiya Tha.” Inko ‘Water Category’ Ke Under Select Kiya Gaya Tha Kyunki Swimming Mei Inki Accomplishments Kaafi Acchi Hai. Last 3 Year Mei Inhone English Channel, Catalina Channel Aur Manhattan 20 Bridge Swim Kiya Hai. Karnataka Se Akele Hai Jo Ki Select Huye Hai, Vishwanathan Ne Kaha, “Last 22 Years Se Mere Aur Meri Family Ke Liye Bengaluru Ghar Jaisa Hi Raha Hai. Swim Kaise Karte Hai Maine Yhi Par Sikha. Mai Hopeful Hun Ki Karnataka Government Bhi Is Achievement Par Jarur Dhyan Degi.”
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.