Vashi, Navi Mumbai Ke Rahne Wale Anshuman Sandeep Jhingran, Jinki Age 16-Year-Old Hai Unhone Ek Ambitious Adventure Swim Mission Liya Hai Arabian Sea Mei 7 Channel Routes Swim Karne Ke Liye. Unhone 26th Nov Ko Open Water Swimming Mei Apna Debut Kiya, Unhone 4 Hours 23 Min Mei Rewas Se Gateway Swim Kiya. 28th Nov Ko Unhone Dharmatar Jetty Se Mandwa Cross Kiya, And 26 Km Ka Distance Unhone 5 Hrs 34 Min Mei Cross Kiya.
Third Swim 7th Dec Ko Thi, Jaha Unhone Legendary Route Dharmatar Se Gateway Of India Tak Ka Distance 8 Hours 19 Min Mei Cover Kar Liya.
Aage Chalkar Unhone 10th Dec 2021 Ko Creek Se Apna Rasta Banate Huye Belapur Jetty Se Gateway Of India Tak Ka Rasta 5 Hours 10 Min Mei Complete Kiya.Uske Baad Unhone Mandwa Jetty Se Alibaug Aur Waha Se Elephanta Caves Phir Wapas Aane Ka Attempt Kiya Aur Ye Distance Jo Ki 42 Km Hai Ye Unhone 10 Hrs 19 Min Mei Cover Kiya. Anshuman Pahle Aise Person Bane Jinhone Arabian Sea Ke Is Route Par Swim Kiya.
Inhone Vashi Se Gateway Of India Tak Ka Rasta 22nd Dec 2021 Ko 5 Hrs 44 Min Mei Complete Kiya. Unki Final Swim 25th Dec 2021 Ko Complete Hui, Jo Ki Mid Sea Crossing Thi Kasa Rock Island Se Khanderi Island Tak, Jiska Distance 26 Km Ka Hai. Jo Inhone 3 Hours 52 Min Mei Complete Ki Aur Ye Is Route Ki Sabse Fastest Swim Hai Abhi Tak Ki.
Sabhi Swims Swimming Association Of Maharashtra Ke Officials Ne Observed Aur Ratified Ki.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:– SwimSwamHindi