Turkish swimmer Derya Buyukuncu, jo ki six Olympic games mei appearance banane wale one of the two swimmers mei se hai, wo is samay hot water mei hai Turkish President Tayyip Erdogan ke bare mei tweets ko le kar.
Turkish prosecutors ne Buyukuncu ke khilaf arrest warrant issue kar diya hai. Kyu ki unhone controversial Turkish President ki health ke bare mei tweet kiya tha.
Erdogan aur unki wife ne announce kiya tha ki wo COVID-19 positive huye hai, unhone kaha ki Omicorn variant ki wajah se mild symptoms bhi hai.
Buyukuncu isliye accused hai q ki unhone Turkish law ko forbid karte huye President ki insult ki hai, jiski wajah se unhe 4 saal tak jail ho sakti hai. Erdogan ke announcement ke response mei Buyukuncu ne tweet kiya tha ki wo “Semolina halva ke liye extra pots bana rahe hai”. Semolina halva ek sweet dish hai jo ki funerals mei served ki jaati hai.
Ye un 8 logon mei se hai jinhone aisa tweet kar President ka mazak banaya tha.
Ye koi pahli baar nhi hai ki President ki health ko le kar social media par post karne ki wajah se kisi ko arrest kiya jaa raha ho. November mei bhi Turky ki cyber police investigate kar rhi thi un 30 logon ko jinhone #olmus hashtag ka use kar ke tweet kiya tha. Olmus ka mtlb hota hai “he is dead”.
Buyukuncu ki current location abhi unknown hai, according to Turkish media. Halaki wo Irvine, California mei rhte hai.
Buyukuncu jo ki abhi 45 age ke hai, unhone 1992,1996, 2000, 2004, 2008 aur 2012 Olympic games mei race kiya hai. Sweden ke Lars Frolander bhi us same six games mei race kar chuke hai. Aur jointly ye dono first swimmer bann chuke hai aisa karne wale.
Buyukuncu ne 2000 mei bronze mdal jeeta tha World Course Championship mei aur unke paas two senior European Championship medals bhi hai. Iske saath unke naam par kuch World cup, Mediterannean Games aur European Junior titles bhi hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi