Do Saal Ke Baad Finally Chandigarh Mei Swimming Sikhne Wale Logo Ka Wait Ab Khtm Hone Jaa Rha Hai. Covid Ki Wajah Se Pichle 2 Saal Se Jo Swimming Pools Band Pade The Ab Wo 15th April Se Swimmers Aur Common People Ke Liye Open Kr Diye Jayenge. Yaha Pr Swimming Sikhne Walo Ko Online Form Fill Krna Hoga. Ye Form UT Sports Department Ki Website Pr Available Hai. Sports Department Ne Taiyari Start Kr Di Hai.
UT Sports Department Ke 12 Swimming Pools City Ke Alag-Alag Sectors Mei Hai. Inme Se 2 Swimming Pools Mei Abhi Renovation Ka Kaam Bhi Chal Rha Hai. Bache Huye 10 Pools Open Hone Jaa Rhe Hai. Swimming Sikhne Wale Logo Ki Fees 6 Months Ke Liye 1500 Rs Rkhi Gyi Hai. Common People Ke Liye 6 Monthe Ki 3000 Rs Fees Rkhi Gyi Hai.
COVID-19 Ki Wajh Se City Ki Sbhi Sports Activities Ko Close Kr Diya Gya Tha. Last Year Ke November Month Mei Swimming Ko Chhod Kr Aur Sbhi Sports Activities Ko Start Kr Diya Gya Tha. Ab Situation Normal Hone Ke Baad UT Sports Department Swimming Pools Ko Bhi Open Krne Ka Decision Le Liya Hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi