Kaafi lambe samay ke intezaar ke baad Kerala State Sports Council ka Raja Kesavdas swimming pool jo ki abhi hi renovate ho kar complete hua hai wo 25th November ko open hone jaa raha hai. Ise Minister for Sports V. Abdurahiman inaugurate karenge sham ko 6 baje.
Ye pool jo ki Alappuzha Lighthouse ke paas hai use nearly 2.5 crore ki cost laga kar renovate kiya gaya hai. Jo ki decade se bhi jyada time se kharab ho kr band pada tha. Ye pool jisme 10 tracks hai uski length 50m hai aur width 25m. Isme 37 lakh litres water ko hold karne ki capacity hai.
Is pool ka foundation stone Raja Kesavdas ke naam par 1995 mei rakha gaya tha, jo ki modern day Alappuzha ke architecture mane jaate hai. 1997 mei iski opening ke baad se ye popular swimming centre bann gaya tha jisme ek time par 60 people ke practice krne ki capacity thi.
Halaki, iske launch ke 6 months ke baad hi, coach-cum-lifeguard ne quit kr diya q ki sports council unhe salary nhi de paa rhi thi. Uske baad swimmers ke number mei bhi kami aane ki wajah se iske revenue mei bhi girawat aai aur 2001 mei pool close ho gaya. Iske baad sports council ne ise private firm ko lease pr de diya. Iske baad 2006 mei ye phir se close kr diya gaya q ki swimming krte waqt 2 log ki maut ho gyi thi.