9 Saal Ke Bachche Ne 18 Minute Mein Cross Kiya Yamuna River:- Indian Swimming News,
Prayagraj ke 9 saal ke Rudra Singh ne Sunday ko 600m wide Yamuna river ko sirf 18 minutes mein hi cross kar liya. Itni Kam age mein ye kaam karne Wale Rudra abhi class 3rd mei padhte hai aur Lukerganz ke rahne Wale hai. Rudra ko guide karne ka pura credit unke coaches Kamala Nishad aur Puja Kapoor ko jaata hai.
Rudra ne apni is swimming ki shuruaat Sunday ko subah 6:25 am se ki thi. Unhone Meerapur Sindu Sagar Ghat (Kakraha Ghat) se shuruwat ki aur aur sirf 18 minute lage unhe Yamuna river ko cross kar ke Vidyapeeth Maheva Ghat tak pahuchne mein. Wo cross kar ke yahan pahoch gaye the 6:43 am par.
Inke master trainer Tribhuvan Nishad ne TOI se kaha ki, “ is chhote se bachche ne breaststroke karte huye river ko cross Kiya hai ur ye iski determination hi hai jisne inko ye feat achieve karne mei help Kiya hai. Bachpan se hi iska swimming ke liye bahot interest raha hai.”
Rudra ke parents Shilpi aur Vivek Singh apne bachche ke is achievement ke liya kaafi proud hai aur Nishad ne kaha ki “Bachche ko river ke dono banks par greet Kiya gaya.” Uske parents aur family members khud bhi boat par ride karte huye bachche ko cheer kar rahe the jab tak unhone river cross nahi kar liya.
2015 Se Band Pada Gol Bagh Public Swimming Pool Abhi Tak Nahi Khula
9 saal baad bhi Municipal Corporation Gol Bagh me sthit public swimming pool ko chaalu karne me fail rahi. Swimming pool 2015 se band pada hai, kyunki MC ne iss facility ke liye dedicated swimming coach, divers, lifesaving guards, technical and sanitation staff provide nahi kiye hain. State Government ne 2015 me daily wage ke base pe employees ko kaam par rakhne ka provision samapt kar diya tha aur employees ke abhav me pool ko chhod Diya gaya tha.
2022 me, Municipal Corporation ne swimming pool ke renovation ke liye 5 crores manjoor kiye the, but engineers ne paya ki repairing ke baad ise chaalu Kiya ja sakta hai kyunki major changes ki awashyakta thi. Isliye, MC ne pool ko reconstruct karne ka Faisala kiya tha. Purane pool aur anya infrastructure ko demolish kar Diya gaya hai aur Naya swimming pool under construction hai. Last 2 saalon ke dauran swimming pool ka construction kai deadlines se aage nikal gaya hai kyunki construction work kachhuye ki gati se chal raha hai.
Swimming ke shaukeenon me nirasha hai kyunki MC iss garmi me apna swimming pool phir se start karne me fail raha hai. Last year MC ne officials ne daawa kiya tha ki public swimming pool ke reconstruction work ko poora karne me 3 mahine lagenge aur ise 2024 ki garmiyon me public kr liye phir se khol diya jayega. Swimming pool visit karne ke dauran ye dekha gaya ki last Kai mahinon se kaam band tha. Shaher me keval 2 main swimming pool hain – first Khalsa College Senior Secondary School me aur second Guru Nanak Dev University me- Jahan students or sports department ke trainees practice ke liye aate hain.
Niwasi Rajiv Kumar ne kaha, “ yah dukhad hai ki pichhle kai saalon se swimming pool band pada hai. Gol Bagh swimming pool me achha infrastructure tha. Players ke alawa, residents bhi yhan aate the. Iss bheeshan garmi me swimming pool ko public ke liye khol diya jana chahiye.”