You are working on Staging1

Duniya Ki Sabse Kam Age Ki Female Master Scuba Diver – Indian Swim News

Specialised Nitrox Diving, Advanced Open Water Certification, Perfect Buoyancy Control, Rescue Diver Training Aur Kai Different Types Ki Special Courses Watersports Me Unki Kuch Achievements Hain Jo Unhe ‘Master Diver’ Ke Roop Me Manyata Dete Hain.

World Ki Youngest Master Scuba Diver Banne Ki Extraordinary Achievement Haasil Karne Ke Liye, Bengaluru Ki Kayna Khare (12) Aur Unki Journey Poori Tarah Dedication, Passion, Skill And Discipline Se Marked Hai.

Specialised Nitrox Diving, Advanced Open Water Certification, Perfect Buoyancy Control, Rescue Diver Training Aur Kai Different Types Ki Special Courses Watersports Me Unki Achievements Hain Jo Unhe ‘Master Diver’ Ke Roop Me Recognise Karte Hain.

Exceptional Knowledge, Dedication And Proficiency Wale Young Divers Ko Iss Prestigious Title Se Awarded Hote Hain.

Andaman And Nicobar Islands Me Apna Pahla Dive Lagane Wali Kyna Ne 10 Saal Ki Umra Me Scuba Diving Start Ki, Uske Baad Unhone Aur Adhik Diving Courses Karne Ka Decision Liya.

Kyna Ne Ani Ko Bataya, “ Maine 10 Saal Ki Umra Me Scuba Diving Start Ki Thi. Maine 1st Time Andaman And Nicobar Islands Me Scuba Diving Ki Thi Aur Yah Ak Fun Experience Tha. Phir Maine Bali, Indonesia Me Apna Open Water Course Poora Kiya Aur Phir Maine Thailand Me Apna Advance Open Water Course Kiya. Main Officially Andaman And Nicobar Islands Me Master Diver Ban Gayi.

Ani Se Baat Karte Huye Kyna Ne Apna Experience Share Kiya Ki Kaise Watersports Unhe Bahot Soothing Feel Hote Hain.

Unhone Kaha, “Paani Ke Neeche Rahna Mere Liye Bahut Calm And Relaxing Hai… Iss Journey Me Mere Parents Ne Mujhe Bahot Support Kiya….Maine Swimming And Scuba Diving Me Kuch Awards Jeete Hain, Jise Main Ak Fun Game Maanti Hun…Samundra Me Tamam Khatron Ke Baad Bhi Mujhe Dar Nahi Lagta.

Hindustan Times Ki Ak Report Kr According, Anshuma (Kyna’s Mother) Ne Kaha, “Kyna Hamesha Se Hi Ak Water Baby Rahi Hai. Usne 2 Saal Ki Umra Me Swimming Seekhi Thi. Hume Use Pool Se Bahar Nikalna Pada. Wah Apartment Ke Swimming Pool Me Swimming Karti Thi.”

Scuba Diving Me Dauran Apne Sabse Darawne Experience Ke Baare Me Yaad Karte Huye, Kyna Ne Kaha Ki Yah Andaman And Nicobar Islands Me Ak Rescue Diving Course Kr Time Hua Tha.

Unhone Kaha, “ Mere Paas Paani Ke Neeche Ki Bahut Si Stories Aur Experiences Hain. Andaman And Nicobar Islands Darawne The Kyuki Weather Bahot Challenging Aur Kharab Tha. Mujhe Whan Apna Rescue Diving Course Karna Tha. Paani Bahot Choppy Tha Aur Tez Toofan Me Andar Hi Dive Karna Pada Aur Unconscious Diver Ko 20m Door Boat Tak Kheenchkar Lana Pada.”

Un Places Ke Baare Me Baat Karte Huye Jahan Unhone Apne Dives Kiye Hai, Kyna Ne Kaha, “ India Me, Maine Maldives, Bali Aur Thailand Ke Alawa Andaman And Nicobar Islands Me Scuba Diving Ki Hai…Abhi Maine Duniya Ki Sabse Youngest Master Diver Bankar World Record Tod Diya Hai. Aap Nahi Jaante Ki Paani Ke Neeche Kya Hone Wala Hai Aur Yahi Sabse Achhi Baat Hai. Main Marine Science Me Aage Badhna Chahti Hun Because I’m Really Fascinated By The Ocean..

Ht Ke According, Apni Worries Ko Explain Karte Huye Anshuma Ne Kaha, “ Hume Nahi Pata Tha Ki Ye Possible Hai Ya Nahi. Specialised Instructor Ke Through Wo Pahla Dive Laga Sakti Thi. Wah Aur Adhik Karna  Chahti Thi, Certify Hona Chahti Thi. Hum Use Apne Dar Ki Wajah Se Majboor Nahi Karna Chahte The,  Lekin  Humne Uske Passion Ki Wajah Se Ak Shot Dene Ka Decide Kiya.”

Kyna Ki Maa Ne Ye Bhi Kaha Ki Unki Chhoti Si Beti Jaldi Thak Jaati Hai Aur Isliye Uske Father Uske Diet Plan, Sleep Schedule And Protocol Kr Saath Safety Gear Ka Poora Dhyan Rakhte Hain.

Anshuma Ne Other Parents Ko Apne Bachchon Ko Unke Passion Ke Liye Encourage Karte Huye Kaha, “ Aaj Ki Duniya Me Kuch Bhi Impossible Nahi Hai. Bas Apne Dream Ko Follow Karein.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »