You are working on Staging1

Mangaluru Me Swimming Karte Samay 3 Log Doobe

Braden Keith
by Braden Keith 0

January 13th, 2025 Hindi

Police ne bataya ki Wednesday ko Hosabettu beach par tairte samay 3 engineering students doob gaye, jabki ak ko local fishermen ne bacha liya.

Surkathal police station ke inspector Mahesh Prasad ne bataya ki ye incident dophar kareeb 2 baje hui. Unhone bataya, “local fishermen ne group ko depth ke karan paani me enter na karne ki warning di gayi thi, lekin unhone warning ko ignore kar diya. Jab group doobne laga, toh fishermen keval ak ladke ko bacha paaye.”

Deceased ki pahchan Chitradurga district ke Upparigenahalli ke bete Manjunath S (31) ke roop me ki gayi; Shivamogga se Shivakumar (30); aur JP Nagar Bangalore se Satyavelu (30). Bidar district ke Hangarga ke Vishwambar ke bete Parmeshwar (30) ko fishermen ne bacha liya.

Prasad ne kaha, “Shivakumar, Satyavelu aur Manjunath ki dead bodies Kulai Jetty ke right side paaye gaye aur unhe postmortem ke liye Mangaluru ke AJ Hospital bhej diya gaya. Baad me dead bodies ko unki families ko de diya gaya.”

“Chaaro students Bengaluru ke AMC Engineering College ke the. Wo Tuesday ko Bengaluru se trip par nikle the aur Wednesday morning Mangaluru pahoche. Local hotel me breakfast karne ke baad wo Hosabettu beach ke paas Kulai jetty par gaye. Paani me khelte time wo tej currents me fans gaye,” unhone kaha.

Unhone aage kaha ki case register kar liya gaya hai aur investigation start ho gayi hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of


0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »