Haryana Ka Pahla Government All-Weather 10-Lane Swimming Pool Set Ho Chukka Hai Apna Pahla Mega Event Khelo India Youth Games Ko Host Krne Ke Liye.
Initially War Heroes Memorial Stadium Mein Project Tha Ki Seasonal Swimming Pool Ko All-Weather Olympics’ Standard Pool Mei Upgrade Krna Aur Uski Cost Thi 18 Crore. But Baad Mei More Facilities, Jaise Ki Warm-Up Pool, Mess, Swimmers Ke Liye Room, Seating Capacity Mei Increase Krna 700 Tak Visitors Ke Liye, Jaisi Chize Bhi Include Thi. Aur Is Wajah Se Hi Iski Cost Bhi 38 Crore Rupees Pahoch Gyi Thi.
Ek Official Ne Kaha Ki Games Ke Dauran, 544 Swimmers Participate Krenge Jisme Se 16 Haryana Se Hai. Halaki, Ambala Se Koi Bhi Swimmer Is Baar Games Mei Participate Nhi Kar Raha Hai Q Ki Ambala Mei Pichle 3 Years Se Pools Under Construction The Aur Practice Naa Kr Pane Ki Wajah Se Swimmers Qualify Nhi Kar Sake. New Pool Mei Swim Timing Touchpad System Bhi Hai Taaki Games Ke Dauran Transparency Ensure Ki Jaa Sake. Jaldi Hi Underwater Camera Ki Facility Bhi Ho Jayegi Jisse Swimmers Ke Technical Stroke Analysis Ki Jaa Sake.
District Swimming Coach Ram Sharma Ne Kaha, “ Is Pool Ko Federation Internationale De Natation Ke Standards Par Construct Kiya Gaya Hai. All-Weather Swimming Pool Ke Absence Mei Hamare Professional Swimmers Ko Pune Ya Bengaluru Jaana Padta Tha Practice Ke Liye Q Ki Ek Year Mei 5 Months To Seasonal Pools Closed Hi Rhte The. Ab Haryana Ke Sbhi Swimmers Throughout The Year Practice Kar Payenge.”
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi