19-year-old swimmer Aryan Nehra jo ki Ahemdabad se hai aur Gainesville ke University of Florida mei training karte hai unhone is year September mein hone wale Asian Games mei qualify kar liya hai.
TOPS (Target Olympic Podium Scheme) athlete ne Westmont near Chicago, USA mei hui TYR PRO SWIM SERIES mein huye sabhi four events jisme unhone participate kiya tha usme apna personal best time record kiya.
Sunday ko Nehra ne 15:29.92 ki timing ke sath apne previous best timing 15:38 ko bhi break kiya. Unhone is year July mei hone wale World Championship jo ki Japan mei hogi usme B cut banaya hai. Asian games Hangzhou, China mein honge.
Nehra already dono hi major swimming competitions mein jo ki 2023 mei hoga Usme qualify ho chuke hai 800 freestyle me. 800 freestyle mein, Nehra ne apne personal best time ka 6.5 seconds deduct kar ke 08:03.15 ke timing ke sath race complete kiya.
Unhone 400m freestyle mei bhi 3:56.17 ki timing ke sath new PB create kiya jo ki third fastest time hai kisi bhi Indian swimmer ke dwara.
400m IM mein, unhone 4:28.50 ki timing ke sath new personal best banaya. Ye second fastest time hai kisi bhi Indian swimmer ke dwara. Nehra ab India ke top ranked swimmer hau 800, 1500 free aur 400 IM mein, World Aquatics ki ranking ke according.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi