Assam Mei Born Hui Swimmer Astha Choudhury Ne Wednesday Ko 100m Butterfly Mei Junior Aur Senior Dono National Records Ko Break Kar Diya.
Choudhury Ne 12-Year Old Senior National Record 1:03.24 Aur Junior National Record 1.04.66 Dono Ko Apne Personal Best 1.02.71 Ke Saath Beat Kiya. Ye Record Unhone Bangalore Mei Chal Rahi 47th Glenmark Junior National Aquatic Championship Mei Banaya.
Apne Swimming Career Mei Is Milestone Ko Itne Jaldi Achieve Karne Ke Baad, Choudhury Ne Apna Joy Share Karte Huye Kaha, “2 Saal Ke Baad Mai Junior Nationals Mei Compete Kar Rahi Hun Aur Mai Apne Coach Partha Pratim Majumder Ko Thank Kahna Chahungi. Unke Bina Ye Possible Hi Nhi Ho Paata. Wo Mere Sabse Bade Supporter The.”
Chaoudhury Ne Kaha Ki National Championship Ke Liye Wo Three Months Se Training Le Rahi Thi.
“Hume Covid-19 Ki Wajah Se Ghar Jaana Pada. Last Three Months Humne Delhi Mei Training Kit Hi,” Swimming Champ Ne Eastmojo Se Kaha.
Ye Puche Jaane Par Ki Kya Pandemic Ne Unki Training Mei Kuch Specific Challenges Laaye, Toh Unhone Kaha Ki, “Sirf Mai Hi Nhi, Sabhi Swimmers Ne Bahot Problems Faced Ki Hai Pools Ke Band Hone Ki Wajah Se. But Mere Parents Hamesha Mere Saath The, Unhone Meri Bahot Help Ki Aur Mai Uske Liye Grateful Hun.”
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.