You are working on Staging1

Asthama Ke Baad Bhi 6 Saal Ke Ladke Ne Swimming Ka Record Banaya

Hum aksar logon ke baare me aisi news sunte hain ki wo life me kai health issues hone ke baad bhi unmatchable milestones achieve kar rahe hain. Ye stories millions of people ke liye inspiration hoti hain. Aaj hum ak aise ladke ke baare me baat karenge jisne serious health issue ke baad bhi ak impressive milestone achieve ki hai. Local 18 ki ak report ke according, ak young ladka jo apne early age me hi Asthama se suffer kar raha tha, usne apni health issue se overcome kiya aur ak unmatchable record set kiya. Netizens ne uske efforts ko widely praise kiya hai.

Reports ke according, Thrinesh  N naam ke iss young ladke ne breathing issue ke baad bhi continuously 3 hours se jada time tak swimming kar ke Asian record banaya hai. Ladka 6 saal ka hai aur Tamilnadu ke Theni me rahta hai. Uske father Navina ne use health issue ke baad bhi popular sport me try karne ke liye encourage kiya. Wah Theni ke ak private school me 2nd class ka student hai.

Thrinesh bachpan se hi Asthama se suffer kar raha hai. Jab uske parents ne doctor se advise li toh doctor ne use thik hone ke liye swimming ki practice karne ki kaha. Uske father ne Thrinesh ko swimming institute me admit Kara diya. Swimming me uska interest badhti gayi aur usne Asian record banane ka attempt kiya.

Reports ke according, Thrinesh ne continuous training liya aur kai swimming competitions me participate kiya. Phir usne record banane ka attempt kiya aur prestigious Universal Records Forum me apna naam record karaya. Reports me kaha gaya hai ki ladke ne continuously 3 hours 15 mins tak swimming ki aur around 7.5 km ki distance cover kar ke youngest long-distance swimmer ke roop me apna naam record karaya. Unhone Theni Sports Ground ke paas ak swimming pool me 150 round swimming kar ke Asian record banaya.

Thrinesh ko uske relatives, friends and school teachers ne highly applaud kiya. Unme se kuchh log iss young ladke ko cheer karne ke liye venue pe bhi present the. Iss unmatchable milestones ko achieve karne ke liye use organisation ki taraf se certificate diya gaya.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »