Indian swimmer Bhavya Sachdeva ne Australian swimming system par serious allegations lagate huye claim kiya hai ki country ke coach “ruthless” hain aur international athletes ka welcome nahi karte hain.
19 saal ki Bhavya, jisne recently Uttarakhand me National Games 2025 me 5 medals jeetkar apna dominance banaya, ne Sportskeeda se especially Australia me apne disastrous six-month stint ke baare me baat ki, jahan wo high-performance training ke liye gayi thi, lekin proper coaching support ke bina rahe gayi thi.
Bhavya, jo International success and 2028 Los Angeles me jagah banane ki ummeed kar rahi thi, ko unke father ne December 2023 me Australia bheja tha, kyunki unhe vishwas tha ki swimming ki shandar legacy wale desh me training lene se unki performance behtar hogi. Halanki, jo ak dream training experience mana ja raha tha, wo unke liye “bad phase” me convert ho gaya.
Bhavya ne reveal kiya ki, “wo December 2023 se June 2024 tak ak bad phase se gujri, jahan wo high-performance training ke liye Australia gayi thi, but in fact, Australian coach bilkul bhi helpful nahi the, aur unhe 7 months tak coach ke liye struggle karna pada, jahan unhone itne lambe time tak bina coach public pool me swimming ki.”
Unke comments ne controversy ko janm diya hai, particularly Australia ki global swimming powerhouse ke reputation ko dekhte huye. Country ne Olympic history me kuchh greatest swimmers produce kiye hain, jinhone 78 gold sahit 239 medals jeete hain. Paris 2024 Olympic me Australia ne akele swimming me 18 medals jeete. Phir bhi, Bhavya ka experience nation ke elite athletes and outsiders ke saath unke behaviour ke beech ak bada difference dikhata hai.
Bhavya ka frustration tab aur badh gaya jab unhe realize hua ki country me training spot secure karna unki expectation se kahin jada difficult tha. Wah Griffith University me shaamil hui thi, jo apne top-tier swimming program ke liye jana jata hai, jahan unhe best coaches me se ak ke under me training lene ki ummeed thi. Lekin cheezen planning ke according nahi hui.
Unhone kaha, “December 2023 ka month tha jab unke father unhe training ke liye Australia bhejne ke conclusion pe pahoche. Jaisa ki hum sabhi jaante hain, Australia me swimming world me best me se ak hai, lekin kisi tarah wo other countries ke liye worth it nahi hai. Ye reality hai, lekin wo ise ak bure sapne ki tarah bhoolna chahti hain. Unhone bina kuch achieve kiye apne crucial six-months diye.”
Bhavya ne shockingly claim kiya ki top-rated institution me enroll karne ke baawjood Griffith University ke coach ne unhe training squad me accept karne se mana kar diya. Yahan tak ki apne junior coach ke under training lene ki koshish bhi fail rahi. Helpless hokar unhone Brisbane me ak team me shaamil hone ki koshish ki, lekin unhe ak week ke andar training band karne ke liye kaha gaya.
Har darwaja band hone ke saath, Bhavya ke pass akmatra option Peter naam ke ak independent coach ke under training lena tha, jinke paas, unke efforts ke baad bhi competitive training dene ke liye ak professional team nahi thi.
Paris Olympics ke khatm hone ke baad bhi Bhavya ko professional setup me shaamil hone ke liye allow nahi kiya gaya, jis wajah se unke paas India wapas lautne ke alawa aur koi option nahi bacha. Isse bhi jada frustration unhe iss baat se hui ki iss dauran unki family ko financial strain endure karna pada, jiske liye unhe kuchh bhi nahi mila.
“Desh Ke Liye Kuchh Karne Ka Time Aa Gaya Hai” – Bhavya Sachdeva Ka Australia Chhodne Ka Bold Decision
Bhavya Sachdeva ko aakhirkar ak choice di gayi- ya toh Australia me rahkar apni studies par focus karein aur swimming ko pichhe chhod dein, ya ghar lautkar apni dreams ko kahin aur pursue karein. Unhone apna decision liya.
Ye feel karte huye ki wo apna precious time kho rahi hain, Bhavya aur unki family ne financial losses ke baawjood Australia Chhodne aur India wapas lautne ka decision liya.
Bhavya ka experience international training opportunities ki talash kar rahe Indian athletes ki ak darawne picture ko pesh karta hai. Jabki kai swimmer Australia me training lene ka sapna dekhte hain, unki testimony iss baare me serious questions raise karti hai ki desh sach me foreign talent ke liye kitna welcoming hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi