Agar Apne Ye Kahawat Nahi Suni Hai Ki “Jab Aap Apne Plane Me Fail Hote Hai To Actually Me Apne Apna Plan Hi Fail Hone Ke Liye Bnaya Tha To Aab Sahi Samay Aa Chuka Hai Is Kahawat Ko Janne Ka.
Lekin Uske Phle Mujhe Comment Me Likh Kar Ye Btayiye Ki Kya Article Ko Likhne Ka Ye Format Apko Pasand Aa Rha Hai? Kyuki India Ke South Or West Bangal Ke Swimmer Ko Hindi Text Read Krne Me Dikkat Hoti Thi.. Isliye Comment Me Jrur Likh Kar Btayiye.. Thank You!
Ha To Agr Aap Kisi Bde Event Event Ke Liye Khud Ko Prepare Kar Rhe Hai To Jahir Si Baat Hai Uske Liye Kafi Khas Yojna Bnani Pdti Hai Workout, Nutrition, Travelling, Equipments Jaisi Chizo Tak Ki Sahi Planning Hona Bahut Jaruri Hai Isliye Niche Kuch Khas Tips Di Gyi Hai Jo Apko Ye Sab Plan Krne Me Kafi Mdad Krengi:-
Planning Akhiri Time Me Nahi Krna
Ek Baar Apne Apne Event Ke Liye Competition Me Signup Kar Liya Ho Apki Planning Usi Moment Se Shuru Ho Jani Chahiye Jabki Kuch Ko Maine Dekhna Hai Ki Wo Event Me Signup Krne Ke Baad Dhyan Hi Nahi Dete Ki Unko Apne Event Ke Liye Kya Plan Bnana Hai Jisse Unka Competition Accha Ho. Apna Workout Dekho, Apne Nutrition Plan Ko Recheck Kro Or Sabse Khas Baat Ki Apne Apne Wale Competition Ke Liye Ek Goal Define Kro Ek Aim Choose Kro Jise Apko Competition Me Jrur Pana Hai.
Event Ke Liye Lagbhag 6-8 Week Hote Hai Jab Aap Kisi Competition Ke Liye Signup Krte Hai To Itne Time Me Apko Apne Coach Ke Sath Baith Kar Short Course Training Ka Ek Chart Tyar Krwa Kar Uspr Work Krna Hoga Aur Maine Jitna Bhi Top Level Ke Coaches Se Pucha Hai Un Sab Ne Ek Hi Chiz Khi Hai Ki Competition Ke Phle Heavy Workout Krna Bilkul Profitable Nahi Hota Hai Competition Ke Phle Apko Drills, Technique, Starts, Turn Is Sab Par Jyada Focus Krna Hota Hai. Choti Choti Galtiyo Ko Dur Krne Ka Sahi Time Yahi Hota Hai Or Jruri Nahi Hai Ki Aap Competition Me Jakr 1st Hi Postion Hi Hasil Krenge Lekin Aapko Hmesa Ye Kosis Jrur Krni Chahiye Ki Aap Apna Personal Best Time Jarur Hasil Kar Ske.
Meals Or Snacks Or Ek Shi Neend Ke Liye Planning
Aap Race Day Ke Din Aap Koi Bhi New Food Nahi Try Kar Skte Jo Apke Shrir Ke Liye Intolerable Ho, Kyuki Isse Bura Or Kuch Nahi Ho Skta Ki Aap Pet Me Drd Ke Sath Competition Me Swimming Krne Ki Kosis Kar Rhe Hai, Isliye Aap Kya Kha Rhe Hai Use Aap Neglect Nahi Kar Skte. Aap Ek Chart Bnayiye Jisme Apke Food Items Me Carbohydrate Or Protein Ke Sahi Unit Mix Ho Or Usi Ko Apne Competition Me Bhi Follow Kariye.
Aab Aati Hai Baat Ki Kitni Neend Shi Rhegi Jisse Body Recovery Jaldi Kar Ske Kyuki Ek Achi Neend Hmare Body Ko Recover Hone Ke Sath Sath Apne Mind Ko Bhi Agle Din Ke Liye Tyar Krti Hai. Isliye Competition Me Beech Beech Me Ek Nap Lena Bhi Jruri Hota Hai.