You are working on Staging1

Blind Paralympian Ne Channel Swim Complete Ki

Braden Keith
by Braden Keith 0

September 11th, 2024 Hindi

Paralympic gold medalist English Channel ko tairkar paar karne wali first blind woman ban gayi hain.

Melanie Barratt ne 21-mile ki swim 12 hours and 20 minutes me complete ki- jo predicted time 14 hours se bhi kam hai.

Unhone kaha, “Kai saalon tak mujhe laga ki main aisa nahi kar paungi, ummeed hai ki ye logon ko aisa karne ke liye inspire karega.”

Leamington Spa ki Barratt ne Atlanta 1996 Sydney 2000 Paralympics me swimming ke liye do gold medals, do silver medals aur 1 bronze medal jeeta, aur unhe Geneva Lake ko tairkar paar karne wali first blind person maana jata hai.

28 August ko Channel Swim ne ab tak British Blind Sport ke liye £17,000 raise kiye hain.

Barratt ne kaha ki charity, jo visually impaired logon ko poore UK me sports tak pahochne me help karti hai, ne unhe Paralympics me shaamil hone me help ki thi.

47 saal ke Barratt ne kaha, “Unhone mere dreams ko sach kiya. Mujhe laga ki unke liye fund raise karna aur kuchh wapas dena appropriate hoga.

‘It’s Been Magical’

Barratt ne 3 saal pahle channel me tairne ke liye sign up kiya tha.

Training ke dauran jab wo open water me practice nahi kar paati thi toh temprature ke prati apni tolerance build karne ke liye uske paas garden me cold water se bhara ak whiskey barrel tha.

Unhone kaha ki achievement, “ vastav me samajh me nahi aai” aur real life me wapas lautna “ “huge come-down” tha.

‘Incredible Determination’

Swimming ke dauran, Barratt ne wood, seaweed and jellyfish ke baach se guide ke liye bone-conducting headsets pahne the.

Unhone kaha ki unke pichhe ak amazing team thi aur unki success ka welcome sach me pyara tha.

Unhone kaha, “strangers ne jab unko kaha ki unhone achha kiya. Unhe ye achha laga.”

British Blind Sport ki chief executive Alaina MacGregor ne kaha ki charity Barratt support ke liye grateful hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »