Chandigarh Me Janm Lene Wali Chahat Arora Ne Apne Medals Ke Numbers Me Ak Aur Medal Add Karte Huye Aaj Odisha Me Chal Rahe 2nd National Swimming Ranking Championship Ke 50m Breaststroke Event Me Gold Medal Jeeta Hai.
What Made Her Shift To Punjab-
Jaisa Ki Chandigarh Me Swimming Association Na Hone Ki Wajah Se Chahat Ne 2017 Me Punjab Jane Ka Decision Liya. Unhone National And International Competitions Me Kai Medals Jeete Hain Aur Kai Records Bhi Banaye Hain. Wah District Meets Me Mohali Ko Aur State Events Me Punjab Ko Represent Karti Hain.
Iss Behatreen Swimmer Ne National Meet Me 33:87 Second Ka Time Lekar Pole Position Haasil Kiya Hai. Halanki, Iss Championship Me Wo Chandigarh Ko Na Represent Kar Ke Punjab Ke Liye Kheli. Jaisa Ki Chandigarh Me Ko Swimming Association Nahi Hai Isliye Chahat Ne 2017 Me Punjab Jaane Ka Decision Liya. Unhone National And International Competitions Me Kai Medals Jeete Aur Kai Records Bhi Banaye. Wah District Meets Me Mohali Ko Represent Karti Hain Aur State Events Me Punjab Ko Represent Karti Hain.
Shaher Me Toh 11 Se Jada Swimming Pools Hain, Lekin Professional Swimmers Ko Training Dene Ke Liye Aur Unhe Badhawa Dene Ke Liye Olympic-Size Ki Koi Bhi Facility Nahi Hai. Punjab Ya Haryana Ke Kisi Bhi District Ke Comparison Me Chandigarh Me Government Pools Ke Numbers Jada Hain. Halanki, National Level Pe Perform Karne Ke Liye Local Talents Ko Ak Stage Dene Ke Liye National Body Se Affiliated Koi Association Nahi Hai.
Chandigarh Me Swimming Ke Mamlon Ko Indian Swimming Federation Dwara Bahut Pahle Appointed Ak Ad-Hoc Committee Dwara Chalaya Jata Hai. Ise National Events Ke Liye Teams Bhejne Ki Authori Hai.
Usually, Players Gold Medals Jeetne Ke Baad Khush Hote Hain. Chahat Se Jab Bhi Punjab Aane Ka Reason Puchha Jata Hai Toh Wo Emotional Ho Jaati Hain. Chahat Ne Kaha, “ 6 Saal Se Jada Ho Gaye Hain. Chandigarh Me Swimming Ke Mamle Me Aaj Bhi Koi Change Nahi Hua Hai. Shahar Ne National Or International Level Pe Ak Bhi Swimmer Nahi Diya Hai. Iska Reason Well-Known Hai. Yhan Koi Practice Platforms Nahi Hain, Officials (Committee) Events Conduct Karne Ko Lekar Bilkul Bhi Chinta Me Nahi Hain Aur Professional Swimmers Ke Liye Koi Pool Nahi Hai. Mujhe Chandigarh Ko Represent Karne Ki Yaad Aati Hai.” Chahat Tuesday Ko Odisha Me 100m Breaststroke Event Me Bhi Participate Karengi.
Isse Pahle, Unhone Punjab University Ko Represent Kiya Tha, Jisme 50m Olympic-Size Ka Pool Hai. Halanki, Ye Facility Garmiyon Ke Time Hi Functional Hoti Hai Aur University Ke Swimmers Ko Isko Use Karna Allowed Hai ( Matlab Unhe Preference Di Jaati Hai).
Delhi Me Sports Authority Of India (SAI) Centre Me Training Le Rahe Ak Swimmer Ne Kaha, “ Chandigarh Jaisi City Me Har Month Various Age Groups Ke Liye Kai Tournament Host Kiye Jaane Chahiye. Administration Ko Swimming Centres Pe Gyms Ka Bhi Set Up Karna Chahiye, Jo Poore Saal Available Hone Chahiye.”
Ongoing Ranking Meet Ke Baad Chahat September Me Hone Wali Senior State Swimming Championship Me Participate Karengi.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi