Hello Swimmers Kaise Hai Aap Sab? June Ka Month Start Ho Chuke Hai And State Level Ke Competition Bhi Start Ho Chuke Hai Jisme Swimmer Select Hokar National Ke Liye Jayenge. Aaj Ka Article Swimmers Ki Training Se Hi Related Hone Wali Hai.
Chahe Aap Ek State Level Swimmer Ho Ya Ek International Swimmer Agar Aap Apne Coach Ko Pure Dil Se Follow Karte Hai To Hi Aap Real Swimmer Hai. Maine Aksar Dekha Hai Ki Swimmer Apne Coach Ke Btaye Hue Workout Me Se Kuch Part Ko Krna Nahi Pasand Karte, Ho Skta Hai Unko Wo Bore Lagta Ho Ya Ho Skta Hai Ki Wo Set Unke Liye Thoda Tough Ho, Lekin Kisi Na Kisi Wajah Se Wo Pura Workout Nahi Karte. Maine To Ye Bhi Dekha Hai Ki Swimmers Sprint Training Me Bhi Kuch Sprints Kam Krte Hai. Lekin Ek Baat Smjhne Wali Yaha Ye Hai Ki Isse Kisko Nuksan Hoga Jab Medals Ya Performance Nahi Ayegi? Isse 3 Logo Ko Sabse Jyada Dikkat Hogi. 1st Coach 2nd Uss Swimmer Ko And 3rd Swimmer Ke Parents Ko. Or Yahi Baat Swimmers Workout Ko Skip Krte Wakt Nahi Yaad Rakhte Hai. Ek Coach Ke Pass Senior Swimmers Se Bhi Jyada Ka Experience Hota Hai, Wo Jo Workout Btata Hai Ya Jo Strategy Btata Hai Wo Sab Apne Experience Se Hi Btata Hai. Lekin Workout Krke Aap Podium Se Khud Dur Hone Lagte Hai. Coach Ko Puri Tarah Se Follow Karne Se Hi Real Me Improvement Ho Sakta Hai Ye Mera Manna Hai. Ek Coach Jab Smjhata Hai Ya Jab Gussa Krta Hai To Dono Me Hi Wo Aapke Acche Future Ke Liye Hi Sochta Hai. Coach Ka Competition Season Me Aggressive Nature Hona Natural Hai Kyuki Coach Ke Upar Bhi Pressure Hota Hai Ki Unko Apne Swimmers Ko Medals Ke Sath Podium Par Dekhna Hai. Ek Coach And Athlete Ka Sath Sports Ke Baad Bhi Rhta Hai.
Isliye Jitne Bhi Swimmers Isko Padh Rhe Hai Wo Aaj Se Apne Coach Ka Shukriya Kre. Agar Aapke Coach Apke Liye Itni Mehnat Kar Skte Hai To Aap Bhi Utni Mehnat Kariye Or Abki Baar Medals Ke Liye Target Kriye. JAI HIND!
· Workout, training tips and Latest update ke liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Aaj Hi Follow Kare.