You are working on Staging1

Coaches Ya Experts Ke Sath Milkar Hi Improve Kiya Ja Skta Hai

Hello Dosto Kaise Hai Ap Log Apne Humare Purane Articles Ko Kafi Pasand Kiya Uske Liye Thanks Aur Aplogo Ke Liye Mai Laya Hu Ekdm Fresh Aur Ekdm New Articles Aur Is Article Ko Pura Zaroor Padhiyega. Ye Article Pranjal Pal Dwara Likha Gya Hai. Aab Aap Swimswam Hindi Ke Youtube Channel Par Hindi Me Techniques Or Drills Or Bhi Bahut Kuch Aab Smjh Skenge To Aaj Hi Youtube Par Swimswam Hindi Channel Ko Subscribe Kriye.

Swimmers Hmesa Khud Ke Stroke Ko, Drills Ko, Starts Ko, Aur Bhi Baki Chizo Ko Improve Krne Ke Bare Me Sochte Rhte Hai Aur Wo Jruri Bhi Hai Lekin Jaisa Ki Ham Sab Jante Hai Ki Har Chiz Excess Me Negative Result Deti Hai, Isliye Mai Swimmers Ko Yahi Salah Dunga Ki Aap Sab Apni Performance Ko Better Karne Ke Liye Khud Ke Dimag Par Pressure Na Dale Balki Usko Apne Coaches Ke Sath Share Kre.

Example Ke Liye Maine Kuch Lines Collect Ki Hai Jo Swimmers Akele Sochte Hai:-

  1. Mujhe Apne 100 Backstroke Ke Best Time Ko Todne Algi Race Tak Better Karna Hai.
  2. Dolphin Kick Me Sudhar Lana
  3. Back Kick Me Sudhar Lana
  4. Start Me Sudhar Lana
  5. Turn Ko Sabse Fast Krna
  6. Best Diet Lena

Ye To Sirf 6 He Points Hue Hai  Is Tereh Se Kafi Point Ap Khud Jaan Skte Hai. Inme Se Kuch Chiz Jaise Point 6 Aisa Point Hai Jiski Chinta Aape Parents Ko Honi Chahiye Sirf Aapko Ek Baar Khna Hota Hai Ki Apko Diet Me Mujhe Ye-Ye Chiz Chahiye Uske Baad Iss Point Ko Sochne Ka Koi Matlb Nahi Hota, Isi Trah 1,2,3,4,5 Ye Sab Points Apne Trainer/Coaches Ke Sath Share Karne Wali Chiz Hai Isko Aap Akele Kabhi Improve Nahi Kar Skte.

Jb Aap Chijo Ke Sudhar Ke Bare Me Soch Suru Kerte Hai Tb Tum Sach Much Me Sochna Band He Nhi Kr Sekte Kyuki  Har Time Koi Na Koi New Point Dimag Me Aa He Jayga Jisse Har Baar Apko Lgega Ki Isme Sudhar Ki Zaroorat Hai Aur Itna Sochna Khternak Bhi Hai. Kyuki Zald He List Itni Lambi Ho Jaygi Ki Dhire Dhire Apko Hi Wo Sari Chiz Akele Imporve Karna Impossible Lgne Lgega Aur Gunjayish Hai Ki Akar Me Itni Badi Ho Jaygi Ki Koi Apki Madad Nhi Kr Sekega. Aur Fir Usi Points Se Aap Demotivate Hona Shuru Ho Jayenge

Positive Or Negative Energy :-

   Aamtaur Pr Koi Ek Chij Apke Swimming Ki Adharshila Hoti Hai Aur Agar Ek Bar Jb Aap Badal Dete Hai Ya Sudhar Late Hai To Weh Apki Puri Performance Pr Ek Positive Ya Negative Effect Dete Hai Ye Baat Uspr Nirbhr Kerti Hai Ki Apne Kya Shi Sudhar Ya Badlav Laya Hai.

Example Ke Liye:-

Agar Ap Sone Ke 8 Ghante Pr Bilkul Mehnti Ho Jate Hai To Yeh Apko Kevel Teji Se Recover Hone Me He Madad Nhi Kerega Iske Sath Apko Apne Agle Exercise Ko Badhiya Kerne Me Bhi Madad Kerega.Isliye  Swimmers Ke Liye Ek Achhi Nind Bahut Zaroori Hai.

Bonus Lines :-

Zindagi Me Jab Hume Humara Aim Mil Jata Hai To Kyi Baar Motivation Paane Ka Koi Jariya Nhi Rehta. Aise Time Par Hume New Aim Select Karna Chahiye. Aapke Andar Aur Achieve Karne Ki Bhookh Hamesha Rahni Chahiye, Aur Safalta Ko Celebrate Jarur Kare. Aise Waqt Par Doston Ki Khi Gyi Baat Aapke Dil Ko Motivation Se Bhar Deti Hai. Aap Khush Mehsoos Karte Hai Aur Fir Aur Mehnat Karne Ke Liye Taiyar Ho Jaate Hai.Jab Humare Pass Ek Nayi Manzil Hogi To Us Mukam Ko Hasil Karne Ke Liye Motivation Jhak Maar Ke Aapke Samne Khadi Hogi. To Life Me Humesha New Aim Banate Rahiye.

   More Workout On Swimswam Hindi:-

Facebook Par Swimswamhindi Ko Jarur Like Kare.

Join Us:-

Google Plus:- Swimswam Hindi

Facebook:- Swimswam Hindi

Pintrest:- Swimswam Hindi

Flipboard:- Swimswam Hindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »